Ghalib - Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak
Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak

Daam Har Mauj Main Hai Halqa-E-Sadkaam-E-Nahang
Dekhe Kya Guzre Hai Qatre Pe Gauhar Hone Tak

Aashiqi Sabr-Talab Aur Tamanna Betaab
Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-E-Jigar Hone Tak

Ham Ne Maana Ke Tagaaful Na Karoge Lekin
Khaak Ho Jaayenge Ham Tum Ko Khabar Hone Tak

Partaw-E-Khoor Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taalim
Main Bhi Hoon Ek Inaayat Ki Nazar Hone Tak

Yak Nazar Besh Nahin Fursat-E-Hasti Gaafil
Garmi-E-Bazm Hai Ik Raqs-E-Sharar Hone Tak

Gam-E-Hasti Ka ‘Asad’ Kis Se Ho Juz Marg Ilaaj
Shamma Har Rang Main Jalti Hai Sahar Hone Tak

    -------------------------

Post a Comment

1 Comments

  1. What a beautiful ghazal by mirza ghalib I love this ghazal. You website template's simplicity brings me back after every few days. Thanks

    ReplyDelete

–>