Ghalib - Aaina Kyun Na Dun Ke Tamaasha Kahen Jise

Aaina Kyun Na Dun Ke

Aaina Kyun Na Doon Ke Tamaasha Kahen Jise
,
Hasrat Ne Laa Rakha Teri Bazm-E-Khayaal Main
Guldastaa-E-Nigaah Suwedaa Kahen Jise

Phoonka Hai Kisne Goshe Mohabbat Main Ai Khuda
Afasun-E-Intazaar Tamanna Kahen Jise

Sar Par Hujoom-E-Dard-E-Gareebi Se Daliye
Wo Ek Musht-E-Khaak Ke Sahra Kahen Jise

Hai Chashm-E-Tar Main Hasrat-E-Deedar Se Nihaan
Shauq-E-Inaa Gusekhta Dariya Kahen Jise

Darkaar Hai Shiguftan-E-Gul Haaye Aish Ko
Subh-E-Bahaar Panbaa-E-Meena Kahen Jise

“Galib” Bura Na Maan Jo Waaiz Bura Kahe
Aisa Bhi Koi Hai Ke Sab Achcha Kahen Jise

  ---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>