Ghalib - Dekhna Kismat Ki Aap Apne Pe Rashk Aa Jaaye Hai

Dekhna Kismat Ki Aap

Dekhna Kismat Ki Aap Apne Pe Rashk Aa Jaaye Hai
Main Use Dekhoon Bhala Kab Mujhse Dekha Jaaye Hai

Haath Dho Dil Se Yahi Garmi Gar Andeshe Main Hai
Aabgina Tundi-E-Sahbaa Se Pigla Jaaye Hai

Ghai Ko Yaarab Wo Kyun Kar Manaa-E-Gustaakhi Kare
Gar Hayaa Bhi Usko Aati Hai To Sharma Jaaye Hai

Shauq Ko Ye Lat Ke Hardam Naala Khenche Jaaiye
Dil Ki Wo Haalat Ki Dam Lene Se Gabra Jaaye Hai

Dur Chashm-E-Bad Teri Bazm-E-Taraab Se Waah Waah
Nagma Ho Jaata Hai Waan Gar Naala Mera Jaaye Hai

Garche Hai Tarz-E-Tagaaful Pardadaar-E-Raaz-E-Ishq
Par Ham Aise Khoye Jaate Hain Ki Wo Paa Jaaye Hai

Uski Bazmaraaiyaan Sunkar Dil-E-Ranjuur Yaan
Misl-E-Naqsh-E-Mudda-E-Ghai Baitha Jaaye Hai

Hoke Aashiq Wo Pari Rukh Aur Naazuk Ban Gaya
Rang Khulta Jaaye Hai Jitna Ki Udtaa Jaaye Hai

Naqsh Ko Uske Musawwir Par Bhi Kya Kya Naaz Hai
Khenchta Hai Jis Qadar Utna Hi Khinchta Jaaye Hai

Saaya Mera Mujhse Misl-E-Dud Bhaage Hai ‘Asad’
Paas Mujh Aatishba-Jaan Ke Kis Se Thahra Jaaye Hai

 -----------------------------

Post a Comment

1 Comments

–>