Ghalib - Gai Wo Baat Ki Ho Guftagu To Kyunkar Ho

Gai Wo Baat Ki Ho Guftagu

Gai Wo Baat Ki Ho Guftagu To Kyunkar Ho
Kahe Se Kuch Na Hua Phir Kaho To Kyunkar Ho

Hamaare Zahan Main Is Fikr Ka Hai Naam Wisaal
Ki Gar Na Ho To Kahaan Jaayen Ho To Kyunkar Ho

Adab Hai Aur Yahi Kashmakash To Kya Kije
Haya Hai Aur Yahi Go-Mago To Kyunkar Ho

Tumhin Kaho Ki Guzaraa Sanam Paraston Ka
Buton Ki Ho Agar Aisi Hi Khu To Kyunkar Ho

Uljhate Ho Tum Agar Dekhte Ho Aaina
Jo Tum Se Shahar Main Ho Ek Do To Kyunkar Ho

Jise Nasib Ho Roz-E-Siyaah Mera Sa
Wo Shakhs Din Na Kahe Raat Ko To Kyunkar Ho

Hame Phir Un Se Ummid Aur Unhe Hamari Qadr
Hamari Baat Hi Puche Na Wo To Kyunkar Ho

Galat Na Tha Hamain Khat Par Gumaan Tasalli Ka
Na Maane Deeda-E-Deedar Ju To Kyunkar Ho

Bataao Us Misha Ko Dekhkar Ho Mujh Ko Qaraar
Yah Nesh Ho Rag-E-Jaan Main Faro To Kyunkar Ho

Mujhe Junoon Nahin Gaalib Wale Baqaul-E-Huzur
Firaaq-E-Yaar Main Taskin Ho To Kyunkar Ho

 -------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>