Ghalib - Ibn-E-Mariyam Hua Kare Koi

Ibn-E-Mariyam Hua Kare Koi

Ibn-E-Mariyam Hua Kare Koi
Mere Dukh Ki Dawa Kare Koi

Shura-O-Aain Par Madaar Sahi
Aise Qaatil Ka Kya Kare Koi

Chaal Jaise Kadi Kamaan Ka Teer
Dil Main Aise Ke Jaa Kare Koi

Baat Par Waan Zubaan Katati Hai
Wo Kahen Aur Suna Kare Koi

Bak Raha Hoon Junoon Main Kya Kya Kuch
Kuch Na Samjhe Khuda Kare Koi

Na Suno Gar Bura Kahe Koi
Na Kaho Gar Bura Kare Koi

Rok Lo Gar Ghalat Chale Koi
Bakhsh Do Gar Khata Kare Koi

Kaun Hai Jo Nahin Hai Haajatamand
Kiski Haajat Rawa Kare Koi

Kya Kiya Khijr Ne Sikandar Se
Ab Kise Rahnuma Kare Koi

Jab Tawaqqo Hi Uth Gayi “Galib”
Kyun Kisi Ka Gila Kare Koi

-----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>