Ghalib - Ki Wafa Hamse To Ghair Use Jafaa Kahte Hain

 Ki Wafa Hamse To Ghair Use

Ki Wafa Hamse To Ghair Use Jafaa Kahte Hain
Hoti Aai Hai Ke Achchhon Ko Bura Kahte Hain

Aaj Ham Apni Pareshaani-E-Khaatir Un Se
Kahne Jaate To Hain, Par Dekhiye Kya Kahte Hain

Agle Waqto Ke Hain Ye Log, Inhen Kuch Na Kaho
Jo May-O-Naghmain Ko Andoharuba Kahte Hain

Dil Main Aa Jaae Hai, Hoti Hai Jo Fursat Ghash Se
Aur Phir Kaun Se Naale Ko Rasaa Kahte Hain

Hai Par-E-Sarahad-E-Idaraak Se Apna Masjud
Qible Ko, Ahal-E-Nazar, Qiblanuma Kahte Hain

Paa-E-Afagaar Pe Jab Se Tujhe Raham Aaya Hai
Khaar-E-Raah Ko Tere Ham Mehr-E-Giyaa Kahte Hain

Ik Sharar Dil Main Hai, Us Se Koi Ghabrayega Kya
Aag Matlub Hai Hamko, Jo Hawa Kahte Hain

Dekhiye Laati Hai Us Shokh Ki Nakhwat Kya Rang
Us Ki Har Baat Pe Ham Naam-E-Khuda Kahte Hain

Wahshat-O-Shefta Ab Marsiya Kahwen Shaayad
Mar Gaya “Ghalib”-E-Aashuftanawa Kahte Hain

                  -------------------

Post a Comment

0 Comments

–>