Ghalib - Laazim Tha Ki Dekho Mera Rasta Koi Din Aur

Laazim Tha Ki Dekho  Mera Rasta

Laazim Tha Ki Dekho  Mera Rasta Koi Din Aur
Tanha Gaye Kyon  Ab Raho Tanha Koi Din Aur

Mit Jaayega Sar, Gar Tera Patthar Na Ghise Ga
Hoon Dar Pe Tere Naasiyaa-Farsa Koi Din Aur

Aaye  Ho Kal Aur Aaj Hi Kehte Ho Ki Jaaoon
Maana Ki Hamesha Nahin, Achha, Koi Din Aur

Jaate  Huwe  Kahte Ho, Qayaamat  Ko Milenge
Kya Khoob ! Qayaamat Ka Hai Goya Koi Din Aur

Haan Ai Falak-E-Peer, Jawaan Tha Abhi 'Aarif'
Kya Tera  Bigadta Jo Na Marta  Koi Din Aur

Tum Maah-E-Shab-E-Char-Dahum  The Mere  Ghar Ke
Phir Kyon Na Raha Ghar Ka Woh Naqsha Koi Din Aur

Tum Kaun Se Aise The Khare Daad-O-Sitad Ke
Karta  Malak-Ul-Maut Taqaaza Koi Din Aur

Mujh Se Tumhain Nafrat Sahi, Nayyar' Se Ladaayi
Bachhon Ka Bhi Dekha Na Tamaasha Koi  Din Aur

Guzri Na Baharhaal Yeh Muddat Khushi-Naakhush
Karna Tha, Jawaan-Marg Guzaara Koi Din Aur

Naadaan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyon Jeete Ho 'Ghalib'
Qismat  Mein Hai Marne Ki Tamanna  Koi Din Aur

   ------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>