Ghalib - Zikr Us Pareewash Kaa, Aur Phir Bayaan Apna

Zikr Us Pareewash Ka

Zikr Us Pareewash Kaa, Aur Phir Bayaan Apna
Ban Gayaa Raqeeb Aakhir Thaa Jo Raazdaan Apna

Main Wo Kyon Bahut Peete Bazm-E-Ghair Men Yarab
Aaj Hi Hua Manzoor Un Ko Imtihaan Apna

Manzar Ik Bulandi Par Aur Ham Banaa Sakte
Arsh Se Idhar Hotaa Kaash Ke Makaan Apna

De Woh Jis Qadar Zillat Hum Hansi Men Taalenge
Baarey Aashna Nikla Unka Paasban Apna

Dard-E-Dil Likhoon Kab Tak, Jaaoon Un Ko Dikhlaa Doon
Ungliyaan Figaar Apni Khaamaa-Khoon Chakaan Apna

Ta Kare Na Ghammazee, Kar Liya Hai Dushman Ko
Dost Ki Shikaayat Mein Hum Ne Hum-Zabaan Apna

Ham Kahaan Ke Daanaa They Kis Hunar Mein Yaktaa They
Be-Sabab Huaa 'Ghalib' Dushman Aasmaan Apna

  ------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>