Ghalib - Zulmat-Kade Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai

Zulmat-Kade Mein

Zulmat-Kade Mein Mere  Shab-E-Gham Ka Josh Hai
Ik Shamma'a Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai

Nai  Muzda-E-Wisaal  Na  Nazzaara-E-Jamaal
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai

Mai Ne Kiya Hai, Husn-E-Khud-Aara Ko Be-Hijaab
'Ai Shauq, Yaan  Ijaazat-E-Tasleem-E-Hosh  Hai

Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Mein Dekhna
Kya  Auj   Par  Sitaara-E-Gauhar-Farosh  Hai

Deedaar, Waada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast
Bazm-E-Khayaal    Maikada-E-Be-Kharosh    Hai

Ai Taaza  Waaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil
Zinhaar Gar Tumhain Hawas-E-Na-O-Nosh Hai

Dekho  Mujhe Jo  Deeda-E-Ibrat-Nigaah Ho
Meri Suno Jo Gosh-E-Naseehat-Niyosh Hai

Saaqi   Ba-Jalwa  Dushman-E-Imaan-O-Aagahi
Mutrib Ba-Naghma Rahzan-E-Tamkeen-O-Hosh Hai

Ya Shab Ko Dekhte The; Ki Har Gosha-E-Bisaat
Daamaan-E-Baaghbaan-O-Kaf-E-Gul-Farosh   Hai

Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang
Yeh  Jannat-E-Nigaah  Woh Firdaus-E-Gosh  Hai

Ya Subh  Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Mein
Nai Woh Suroor-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai

Daagh-E-Firaaq-E-Sohabat-E-Shab Ki Jali Hooi
Ik Shamma`A Reh Gai Hai So Wo Bhi Khamosh Hai

Aate Hain Ghaib Se Ye Mazaameen Khayaal Mein
'Ghalib',  Sareer-E-Khaama Nawa-E-Sarosh Hai

                          ---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>