Duaa Shayari

Dua Shayari


Aakhir Koi Umeed-E-Asar Bhi Duaa Ke Baad
Kuchh Aap Bhi Kahen Meri Iltijaa Ke Baad

[Fani Badayuni]

******************************


Is Ka Gilaa Nahin Ki Duaa Be-Asar Gai
Ik Aah Ki Thi Vo Bhi Kahin Jaa Ke Mar Gai

[Tilokchand Mehroom]

******************************


Yoon Tujh Ko Ikhtiyaar Hai, Taasir De Na De
Dast-E-Duaa Ham Aaj Uthaaye Hue To Hain

[Majaz]

******************************


Vo Jaate Hain Aati Hai Qayaamat Ki Sahar Aaj
Rotaa Hai Duaaon Se Gale Mil Ke Asar Aaj

[Daagh Dehlvi]

******************************


Hoti Nahin Qubool Duaa Tark-E-Ishq Ki
Dil Chaahtaa Na Ho To Duaa Men Asar Kahaan

[Altaf Husain Hali]

******************************


Mujh Ko Ye Aitaraaf Duaaon Mein Hai Asar
Jaayen Na Arsh Par Jo Duaayen To Kya Karen

[Akhtar Sheerani]

******************************


Maangaa Karen Ge Ab Se Duaa Hijr-E-Yaar Ki
Aakhir Ko Dushmani Hai Duaa Ko Asar Ke Saath

[Momin]

******************************


Sunte Hain Ki Mil Jaati Hai Har Cheez Duaa Se
Ek Roz Tumhen Maang Ke Dekhenge Khudaa Se

[Rana Akbarabadi]

******************************


Sab Kuchh Khuda Se Maang Liyaa Tujh Ko Maang Kar
Uthte Nahin Hain Haath Mere Is Duaa Ke Baad

[Agha Hashr]

******************************


Maangen Ge Ab Duaa Ki Use Bhool Jaayen Ham
Lekin Jo Vo Baavaqt-E-Duaa Yaad Aa Gayaa

[Khumaar Barabankvi]

******************************


Hatheliyon Ki Duaa Phool Le Ke Aai Ho
Kabhi To Rang Mere Haath Ka Hinaai Ho

[Parveen Shaakir]

******************************


Arsh Se Ho Ke Jo Maayoos Duaayen Aain
Main Ye Samajha Ki Mere Ghar Men Balaayen Aain

[Jigar Moradabadi]

******************************


Marne Ki Duaayen Kyon Maangoo, Jine Ki Tamannaa Kaun Kare
Ye Duniyaa Ho Yaa Vo Duniyaa, Ab Khvaahish-E-Duniyaa Kaun Kare

[Moin Ahasan Jazbi]

******************************


Keejiye Aur Koi Zulm Agar Zid Hai Yahi
Leejiye, Aur Meri Lab Pe Duaaen Aain

[Jigar Moradabadi]

******************************


Marzi-E-Yaar Ke Khilaaf Na Ho
Log Mere Liye Duaa Na Karen

[Hasrat Mohani]

******************************


Lamhaat-E-Yaad-E-Yaar Ko Sarf-E-Duaa Na Kar
Aate Hain Zindagi Mein Ye Aalam Kabhi Kabhi

[Shakeel Badayuni]

******************************


Ik Teri Tamanna Ne Kuchh Aisaa Navaazaa Hai
Maangi Hi Nahin Jaati Ab Koi Duaa Ham Se

[Ejaz Kamravi]

******************************


Tum Salaamat Raho Hazaar Baras
Har Baras Ke Hon Din Pachaas Hazaar

[Mirza Ghalib]

******************************


Dua Karoon Na Karoon, Soch Hai Yehi Ke Tujhe,
Dua Se Pahle Mere Dil Ka Muda’a Maaloom.

[Shad Azeemabadi]

******************************


Jaan Tujh Par Nisaar Karta Hoon,
Main Nahin Jaanta Dua Kya Hai.

[Mirza Ghalib]

******************************


Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke Tamanna Meri,
Zindagi Shama’ Ki Soorat Ho, Khudaya Meri.

[Allama Iqbal]

******************************


Masjid To Bana Di Dam Bhar Mein, Eimaan Ki Haraarat Waalon Ne,
Man Apna Purana Paapi Hai, Barson Mein Namaazi Ban Na Saka

[Allama Iqbal]

******************************


Unhen Zauq-E-Ibaadat Bhi Hai, Aur Gaane Ki Aadat Bhi,
Nikalti Hain Duaayein Un Ke Munh Se Thumriaan Ho Kar.

[Akbar Allahabadi]

******************************


Ya Taalib-E-Duaa Tha Main Ek Ek Se, Jigar,
Ya Khud Yeh Chaahta Hoon, Dua Mein Asar Na Ho.

[Jigar Moradabadi]

******************************


Tayyaar They Namaaz Pe Hum Sun Ke Zikar-E-Hoor,
Jalwa Buton Ka Dekh Ke Neeyat Badal Gai.

[Akbar Allahabadi]

******************************


Is Saadgi Ko Kaun Na Apnaaye Ai Khuda!
Dil Haath Bhi Uthaata Nahin Aur Dua Buland

[Kalim Akhtar]

******************************


Yaad Aaye Hain Uff Gunaah Kyaa-Kyaa
Haath Uthaaye Hain Jab Dua Ke Liye

[Zaki Kakoravi]

******************************


Jab Duaa Di Usay, Alfaaz Sab Apne Bartey,
Iss Bhalaai Mein, Ye Thoda-Sa Buraa Hum-Ne Kiya.

[Shahid Jameel]

******************************


Duaa-Ko Shauq Hai Takra Ke Laut-Aane Ka,
Zubaan Lafz-Zada,Haasil-E-Bayaa'n Khaali.

[Shahid Jameel]

******************************


Suraj Ki Har Kiran Teri Surat Pe Vaar Doon
Dozakh Ko Chaahta Hoon Ki Jannat Pe Vaar Doon

Itni Si Hai Tasalli Ki Ho Ga Muqaabla
Dil Kya Hai Jaan Bhi Apni Qayamat Pe Var Doon

[Abdul Hamid Adam]

******************************


Mujhe Zindagi Ki Dua Dene Waale,
Hansi Aa Rahi Hai Teri Saadgi Par

[Gopal Mittal]

******************************


Talab-E-Aashiq-E-Saadiq Mein Asar Hota Hai,
Go Zara Der Mein Hota Hai, Magar Hota Hai.

[Azad Ansari]

******************************


Ahl-E-Karam, Tarz-E-Karam Bhool Chuke Ho,
Hum Jaise Faqiron Ko To Ab Bhi Hai Dua Yaad.

[Mahir-Ul-Qadri]

******************************


Lab Taraste Hain Ilteja Ke Liye
Haath Uthate Nahin Duaa Ke Liye

[Jigar Moradabadi]

******************************

Post a Comment

0 Comments

–>