Ghar Shayari

ghar shayari



Jis Jaa Makin Banane Ke Dekhe The Main Ne Khvaab
Us Ghar Main Ek Shaam Ki Mahmaan Bhi Na Thi

[Parveen Shakir]

----------------------------------

Raaste Mein Mil Gayaa To Shareek-E-Safar Na Jaan
Jo Chhaaon Meharbaan Ho Use Apnaa Ghar Na Jaan

[Parveen Shakir]

----------------------------------

Vo Aaye Ghar Men Hamaare Khudaa Ki Qudrat Hai
Kabhi Ham Un Ko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Be-Dar-O-Divaar Kaa Ik Ghar Banaayaa Chaahiye
Koi Ham-Sayaa Na Ho Aur Paas-Baan Koi Na Ho

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Rahe Hain Yoon Gah-O-Begah Ki Koo-E-Dost Ko Ab
Agar Na Kahiye Ki Dushman Kaa Ghar Hai Kyaa Kahiye

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Tum Maah-E-Shab-E-Chaar Daaham The Mere Ghar Ke
Phir Kyoon Na Rahaa Ghar Kaa Vo Naqshaa Koi Din Aur

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Ug Rahaa Hai Dar-O-Divaar Pe Sabzaa "Ghalib"
Ham Bayaabaan Men Hain Aur Ghar Men Bahaar Aai Hai

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Dil Men Zauq-E-Vasl-O-Yaad-E-Yaar Tak Baaqi Nahin
Aag Is Ghar Ko Lagi Aisi Ki Jo Thaa Jal Gayaa

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Aaye Hai Bekasi-E-Ishq Pe Ronaa "Ghalib"
Kis Ke Ghar Jaaye Gaa Sailaab-E-Balaa Mere Baad

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Apni Gali Mein Mujh Ko Na Kar Dafn Baad-E-Qatl
Mere Pate Se Khalq Ko Kyoon Teraa Ghar Mile

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Chhodaa Na Rashk Ne Ki Tere Ghar Kaa Naam Loon
Har Ek Se Poochhtaa Hoon Ki Jaaoon Kidhar Ko Main

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Ek Hangaame Pe Mauqoof Hai Ghar Ki Raunaq
Nauha-E-Gham Hi Sahi Naghma-E-Shaadi Na Sahi

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Kyaa Hi Rizvaan Se Ladaai Hogi
Ghar Teraa Khuld Men Gar Yaad Aayaa

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Koi Viraani Si Viraani Hai
Dasht Ko Dekh Ke Ghar Yaad Aayaa

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Ghar Hamaara Jo Na Rote Bhi To Veeraan Hotaa
Bahar Gar Bahar Na Hota To Bayaabaan Hotaa

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Nazar Mein Khatke Hai Bin Tere Ghar Ki Aabaadi
Hamesha Rote Hain Ham Dekh Ke Dar-O-Divaar

[Mirza Ghalib]

----------------------------------

Tanhaai Ko Ghar Se Rukhsat Kar To Do
Socho Kis Ke Ghar Jaayegi Tanhaai

[Zafar Gorakhpuri]

----------------------------------

Yaad Nahin Kyaa Kya Dekha Tha Saare Manzar Bhool Gaye
Us Ki Galiyon Se Jab Laute Apnaa Bhi Ghar Bhool Gaye

----------------------------------

Khoob Gaye Pardes Ki Apne Deevaar-O-Dar Bhool Gaye
Sheesh-Mahal Ne Aisaa Gheraa Mitti Ke Ghar Bhool Gaye

[Nazeer Baqri]

----------------------------------

Ghar Aap Hi Jagamagaa Uthegaa
Dahaliz Pe Ik Qadam Bahut Hai

[Parveen Shakir]

----------------------------------

Kal Jaane Kaise Honge Kahaan Honge Ghar Ke Log
Aankhon Men Ek Baar Bharaa Ghar Samet Loon

[Ajmal Ajmali]

----------------------------------

Log Toot Jaate Hain Ek Ghar Ke Banaane Men
Tum Taras Nahin Khaate Bastiyaan Jalaane Men

[Bashir Badr]

----------------------------------

Divaar Khastaa-Haal Hai Aur Dar Udaas Hai
Jab Se Koi Gayaa Hai Meraa Ghar Udaas Hai

[Nasir Basheer]

----------------------------------

Yoon Hi Besabab Na Phiraa Karo
Kisi Shaam Ghar Bhi Rahaa Karo

----------------------------------

Vo Gazal Ki Sachchhi Kitaab Hai
Use Chupke Chupke Padhaa Karo

[Bashir Badr]

----------------------------------

Ghar Nayaa Bartan Bade Kapde Naye
In Puraane Kaaghazaon Ka Kya Karen

[Jaun Eliya]

----------------------------------

Ilaahi Mere Dost Hon Khairiyat Se
Ye Kyoon Ghar Men Patthar Nahin Aa Rahe Hain

[Khumar Barabankvi]

----------------------------------

Tujh Bin Ghar Kitanaa Soonaa Thaa
Deevaaron Se Dar Lagtaa Thaa

Bhooli Nahin Vo Shaam-E-Judaai
Main Us Roz Bahut Royaa Thaa

[Nasir Kazmi]

----------------------------------

Gharon Pe Naam The Naamon Ke Saath Ohade The
Bahut Talaash Kiyaa Koi Aadami Na Milaa

[Bashir Badr]

----------------------------------

Bhoole Se Bhi Pahunche Na Tere Ghar Mein Kabhi Ham
Barson Yun Hi Khaar-E-Sar-E-Deewaar Se Uljhe

[Daagh Dehlvi]

----------------------------------

Darta Hoon Dekh Kar Dil-E-Be-Aarzoo Ko Main
Sunsaan Ghar Yeh Kyun Na Ho Mehmaan To Gaya

[daagh dehlvi]

----------------------------------

Apna Ghar Kya Ghar Tha Lekin Haan Ek Ghar Ka Naam Sa Tha
Teri Tawajjoh Se Ab Wo Bhi, Shaamil Hai Weeraanon Mein

[Jmeeluddin Aali]

----------------------------------

Usi Ne Mujh Pe Uthaye Hain Sang Jis Ke Liye
Main Paash-Paash Huaa Ghar Nigaar-Khaana Hua

[Naseer Turabi]

----------------------------------

Nagi Nagri Phira Musaafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraaya Bhool Gaya

[Miraji]

----------------------------------

Kuchh Hai Ki Jo Ghar Pe Nahin Paata Hai Kisi Ko
Varna Koi Aise To Safar Mein Nahin Rahtaa

[Waseem Barelvi]

----------------------------------

Ji Dhoondhta Hai Ghar Koi Donon Jahaan Se Door
Is Aap Ki Zamin Se Alag, Aasmaan Se Door

[Fani Badayuni]

----------------------------------

Kuchh Din To Naseer Aao Chalo Ghar Mein Raha Jaaye
Loagon Ko Yeh Shikwa Hai Ke Ghar Par Nahin Milta

[Naseer Turaabi]

----------------------------------

Allah Re Be-Khudi Terey Ghar Ke Aas Paas
Har Dar Pe Di Sadaa Terey Dar Ke Khayaal Mein

[Jagan Nath Aazad]

----------------------------------

Jab Ghar Ko Mere Aag Lagi To Kuchh Maal Bacha Thaa Jalne Sey
Aur Vo Bhi Un Ke Haath Lagaa Jo Aag Bujhaane Aaye They

----------------------------------

Ghar To Aisaa Kahaan Thaa Lekin
Dar-Ba-Dar Hain To Yaad Aataa Hai

----------------------------------

Ye Sard Raat Ye Aavaragi Ye Neend Kaa Bojh
Ham Apne Shahar Mein Hote To Ghar Gaye Hote

----------------------------------

Sunte Hain Ke Apne Hi The Ghar Lootne Vaale
Achchaa Huaa Main Ne Ye Tamaashaa Nahin Dekha

----------------------------------

Baarish Hui To Ghar Ke Dariche Se Lage Ham
Chup-Chaap Sog-Vaar Tumhen Sochte Rahe

----------------------------------

Sadak Ko Chhod Kar Chalnaa Pade Gaa
Ke Mere Ghar Ka Kachchaa Raastaa Hai

----------------------------------

Mere Khudaa Mujhe Itnaa To Motabir Kar De
Main Jis Makaan Men Rahtaa Hoon Us Ko Ghar Kar De

----------------------------------

Us Sey Kahna Ke Palkon Par Na Taanke Khwaab Ki Jhaalar
Samandar Ke Kinaare Ghar Banaa Ke Kuchh Nahin Miltaa

----------------------------------

Ghar To Aisaa Kahan Tha Lekin
Dar-Ba-Dar Hain To Yaad Aata Hai

----------------------------------

Us Ki Khwahish Hai Ke Aangan Mein Utrey Sooraj
Bhool Baitha Hai Ke Khud Mom Ka Ghar Rakhta Hai

----------------------------------

Koi Yahan Se Chal Diya Raunaq-E-Baam-O-Dar Nahin
Dekh Raha Hun Ghar Ko Main Ghar Hai Magar Wo Ghar Nahin

----------------------------------

Woh Mila To Dar-Darichon Sab Pe Taari Tha Sukoon
Woh Gaya, Tanhaaiyaan Phir Laut Ke Ghar Aa Gayin

----------------------------------

Ajeeb Khwab Tha Apne Hi Ghar Mein Saari Raat
Talash Karta Raha Mujh Ko Apna Ghar Na Mila

----------------------------------

Bahot Dinon Mein Mere Ghar Ki Khamoshi Tooti
Khud Apne Aap Sey Ek Din Kalaam Main Ne Kiya

----------------------------------

Ghar Ka Darwaza Khula Rakha Hai
Waqt Mil Jaaye To Zahmat Karna

----------------------------------

Ghar Kabhi Ujra Nahin, Ghar Ka Shijra Hai Gawaah
Hum Gaye To Aa Ke Koi Doosra Rah Jaaye Ga

----------------------------------

Ghar Ko Yun Dekh Rahe Hain Jaise
Aaj Hi Ghar Nazar Aayaa Hum Ko

----------------------------------

Ghar Mein Yeh Maanoos Si Khushboo Kahan Se Aa Gayi
Is Kharaabe Mein Agar Aayaa, Gaya Koi Nahin

----------------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>