Koocha Shayari

narrow lane


Main Yoon Bhi Ehtiyaatan Us Gali Se Kam Guzarta Hoon
Koi Maasoom Kyon Mere Liye Bad-Naam Ho Jaaye

[Bashir Badr]

------------------------------

Ujaale Apni Yaadon Ke Hamaare Saath Rahne Do
Na Jaane Kis Gali Men Zindagi Ki Shaam Ho Jaaye

[Bashir Badr]

------------------------------

Ho Sake Kya Apni Vahshat Ka Ilaaj
Mere Kooche Mein Bhi Sahara Chaahiye

[Daagh Dehlvi]

------------------------------

Abhi Aai Bhi Nahin Koocha-E-Dilbar Se Sada
Khil Gai Aaj Mere Dil Ki Kali Aap Hi Aap

[Daagh Dehlvi]

------------------------------

Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aaye Hain Lekin
Bahut Be-Aabroo Ho Kar Tere Kooche Se Ham Nikle

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Phir Tere Kooche Ko Jaataa Hai Khayaal
Dil-E-Ghum-Gashtaa Magar Yaad Aayaa

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Rahte The Kabhi Jin Ke Dil Mein Ham Jaan Se Bhi Pyaaron Ki Tarah
Baithe Hain Unhin Ke Kooche Men Ham Aaj Gunahgaaron Ki Tarah

[Majrooh Sultanapuri]

------------------------------

Apni Gali Men Mujh Ko Na Kar Dafn Baad-E-Qatl
Mere Pate Se Khalq Ko Kyon Tera Ghar Mile

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Zauf Se Naksh-E-Paa-E-Mod Hai Tauq-E-Gardaan
Tere Kooche Se Kahaan Taaqat-E-Raam Hai Ham Ko

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Tere Kooche Ka Hai Maail Dil-E-Muztar Mera
Kaaba Ik Aur Sahi Qiblaa-Numa Aur Sahi

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Galiyon Meri Naash Ko Kheenche Phiro Ki Main
Jaandaada-E-Havaa-E-Sar-E-Rah-Guzar Tha

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Haan Vo Nahin Khuda-Parast, Jaao Vo Be-Vafaa Sahi
Jis Ko Ho Deen-O-Dil Aziz Us Ki Gali Men Jaaye Kyoon

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Hui Hai Kis Qadar Arzaani-E-Mai-E-Jalvaa
Ki Mast Hai Tere Kooche Men Har Dar-O-Deevaar

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Kam Nahin Jalva-Gari Mein Tere Kooche Se Bahisht
Yahi Naqsha Hai Vale Is Qadar Aabaad Nahin

[Mirza Ghalib]

------------------------------

Janaaza Rok Kar Meraa Vo Is Andaaz Se Bole
Gali Ham Ne Kahi Thi Tum To Duniya Chhode Jaate Ho

[Safi Lucknawi]

------------------------------

Janaaze Vaalo Na Chupke Qadam Badhaaye Chalo
Usi Ka Koocha Hai Tuk Karte Haaye Haaye Chalo

[Hiranand 'Soz']

------------------------------

Zindagi Khatm Jahaan Ki Vo Jagah Phir Na Mili
Tere Kooche Se Uthaaye Liye Jaate Hain Mujhe

[Razaa]

------------------------------

Main Ise Shohrat Kahoon Yaa Apni Rusvaai Kahoon
Mujh Se Pahle Us Gali Mein Mere Afsaane Gaye

[Hari Chand Akhtar]

------------------------------

Teri Aarzoo Teri Justujoo Mein Bhatak Rahaa Tha Gali Gali
Meri Daastaan Teri Zulf Hai Jo Bikhar Biklhar Ke Sanvar Gai

[Bashir Badr]

------------------------------

Aur Kya Chaahti Hai Gardish-E-Ayyaam Ke Hum
Apna Ghar Bhool Gaye Unki Gali Bhool Gaye

[Jaun Eliya]

---------------------

Aur Ek Baar Mujh Ko Jaane Do
Saara Saamaan Us Gali Mein Hai

[Jaun Eliya]

---------------------

Jurm Hai Teri Gali Se Sar Jhuka Kar Lautna
Kufr Hai Pathraav Se Ghabraana Tere Shahar Mein

[Kaifi Azmi]

---------------------

Kuchh Yaad Kar Ke Aankh Se Aansoo Nikal Pade
Muddat Ke Baad Guzre Jo Us Gali Se Ham

[Nawab Saeed]

------------------------------

Aql Kahti Hai Na Jaa Koocha-E-Qaatil Ki Taraf
Sarfaroshi Ki Havas Kahti Hai Ki Chal Kya Hoga

[Bedil Azeemabadi]

------------------------------

Aa Kar Kharaab Hain Tere Kooche Mein Varna Ham
Ab Tak To Jis Zameen Pe Rahe Aasmaan Rahe

[Anwar]

------------------------------

Ham Dilli Bhi Ho Aaye Hain Lahaur Bhi Ghoome
Ai Yaar Magar Teri Gali Teri Gali Hai

[Bashir Badr]

------------------------------

Paa-E-Bosi Bhi Tumhen Yaar Ki Mil Jaaye Gi
Us Ke Kooche Ki Zaraa Khaak To Mil Jaane Do


------------------------------

Kuchh Yaadgar-E-Shahar-E-Sitamgar Hi Le Chalen
Aaye Hain Is Gali Mein To Patthar Hi Le Chalen

[Nasir Kazmi]

------------------------------

Har Gali Achchhi Lagi Har Ek Ghar Achchha Laga
Vo Jo Aaya Shahar Mein To Shahar Bhar Achchha Laga


------------------------------

Koi Aahat Koi Aavaaz Koi Chaap Nahin
Dil Ki Galiyaan Badi Sunasaan Hain Aaye Koi

[Parveen Shakir]

------------------------------

Is Kooche Mein Kai Us Ke Shanaasaa Bhi To Hain
Vo Kisi Aur Se Milne Ke Bahaane Aaye

[Parveen Shakir]

------------------------------

Ham Zamaane Mein Kuchh Aise Bhatke
Ab To Un Ki Bhi Gali Yaad Nahin

------------------------------

Phir Dil Se Aa Rahi Hai Sada, Us Gali Mein Chal
Shayad Mile Ghazal Ka Pata, Us Gali Mein Chal

---------------------

Kab Se Nahin Hua Hai Koi Sher Kaam Ka
Ye Sher Ki Nahin Hai Fizaa, Us Gali Mein Chal

---------------------

Aghyaar Bhi Hain Us Ki Gali Mein To Kya Gila
Woh Gulistaan Hi Kya Hai Jahaan Khaar-O-Khas Nahin

---------------------

Chale They Aur Kisi Raaste Ki Dhun Mein Magar
Hum Ittefaq Se Teri Gali Mein Aa Nikle

---------------------

Koocha-Gardi Se Hi Fursat Nahin Din Raat Humen
Ghar Ke Hum Hote To Gham-Khwaar Muyassar Aate

---------------------

Yeh Aur Baat Ke Teri Gali Mein Na Aayen Hum
Lekin Ye Kya Ke Shaher Tera Chhor Jaayen Hum

---------------------

Dayaar-E-Khawab Ki Galiyon Ka Jo Bhi Naqsha Ho
Makeen-E-Shehr Na Badlein Nazar Dua Karna

---------------------

Shor-E-Tiflaan Bhi Nahin Hai, Na Raqeebon Ka Hujoom
Laut Aao, Yeh Koi Aur Gali Lagti Hai

---------------------

Gali Ke Mod Pe Dekha Usey To Kaisi Khushi
Kisi Ke Waste Hoga Ruka Huwa Woh Bhi

---------------------

Isi Kooche Mein Kayi Us Ke Shinaasa Bhi To Hain
Woh Kisi Dar Sey Milne Ke Bahaane Aaye

---------------------


Raat Bhar Us Ki Aahat Kaan Mein Aati Rahi
Jhaank Kar Dekha Gali Mein Koi Bhi Aayaa Na Tha

[Adeem Hashmi]

------------------------------

Aaj Junoon Ke Dhang Naye Hain
Teri Gali Bhi Chhoot Na Jaaye

[Qabil Ajmeri]

------------------------------

Tumhaari Galiyon Mein Phir Rahaa Hoon
Khayaal-E-Rasm-E-Vafaa Hai Varna

Main Apne Gham-Khaana-E-Junoon Mein
Tumhen Bulaana Bhi Jaantaa Hoon

[Qabil Ajmeri]

------------------------------

Ye Gardish-E-Zamaanaa Hamen Kya Mitaaye Gi
Ham Hain Tavaaf-E-Koocha-E-Jaanaan Kiye Hue

[Qabil Ajmeri]

------------------------------

Koi Deevaana Chaahe Bhi To Laghzish Kar Nahin Sakta
Tere Kooche Mein Paaon Ladkhadaanaa Bhool Jaate Hain

[Qabil Ajmeri]

------------------------------

Kitne Shorida-Sar Muhabbat Mein
Ho Gaye Koocha-E-Sanam Ki Khaak

[Qabil Ajmeri]

------------------------------

Koocha-E-Yaar Markaz-E-Anvaar
Apne Daaman Mein Dasht-E-Gham Ki Khaak

[Qabil Ajmeri]

------------------------------

Gham-E-Jahaan Ke Taqaaze Shadid Hain Varna
Junoon-E-Koocha-E-Dildaar Ham Bhi Rakhte Hain

[Qabil Ajmeri]

------------------------------

Sahib-E-Dard Ho Ke Ham "Qabil"
Koocha-E-Chaara-Gar Mein Rahte Hain

[Qabil Ajmeri]

------------------------------

Saaye Gali Men Jaagte Rahte Hain Raat Bhar
Tanhaaiyon Ki Ot Se Jhaankaa Na Kar Mujhe

[Saleem Kausar]

------------------------------


Post a Comment

0 Comments

–>