Mulaqat Shayari




Ab Kaun Baat Rah Gai Ye Baat Bhi Gai
Yaani Kabhi Kabhi Ki Mulaaqaat Bhi Gai

[Mubarak Azeemabadi]

******************************


Aaj To Mil Ke Bhi Na Mile Hon Tujh Se
Chaunk Uthte The Kabhi Teri Mulaaqaat Se Ham

[Jan Nissar Akhtar]

******************************


Na Jee Bhar Ke Dekhaa Na Kuchh Baat Ki
Badi Aarzoo Thi Mulaaqaat Ki

[Bashir Badr]

******************************


Main Ne Maanaa Ke Mujhe Un Se Muhabbat Na Rahi
Ham-Nashin Phir Bhi Mulaaqaat Se Jee Dartaa Hai

[Hasan Naeem]

******************************


Be-Qaraari Thi Sab Ummeed-E-Mulaaqaat Ke Saath
Ab Vo Agli Si Daraazi Shab-E-Hijraan Mein Nahin

[Altaf Husain Hali]

******************************


Ye Ek Shab Ki Mulaaqaat Bhi Ghaneemat Hai
Kise Hai Kal Ki Khabar Thodi Door Saath Chalo

[Ahmed Faraz]

******************************


Munhasir Vaqt-E-Muqarrar Pe Mulaaqaat Hui
Aaj Ye Aap Ki Jaanib Se Nai Baat Hui

[Hasrat Mohani]

******************************


Kahaan Vo Shokh Mulaaqaat Khud Se Bhi Na Hui
Bas Ek Baar Hui Aur Phir Kabhi Na Hui

[Jigar Moradabadi]

******************************


Us Ne Kahaa Itni Mulaaqaat Bahut Hai
Main Ne Kaha Ruk Jaao Abhi Raat Bahut Hai

Aansoo Mere Tham Jaayen To Phir Shauq Se Jaanaa
Aise Mein Kahaan Jaao Ge Barsaat Bahut Hai

[Unknown]

******************************


Uzr Aane Mein Bhi Hai Aur Bulaate Bhi Nahin
Baais-E-Tark-E-Mulaaqaat Bataate Bhi Nahin

[Daagh Dehlvi]

******************************


Musaafir Hain Ham Bhi Musaafir Ho Tum Bhi
Kisi Mod Pe Phir Mulaaqaat Hogi

[Bashir Badr]

******************************


Hooron Se Na Hogi Ye Madaaraat Kisi Ki
Yaad Aayegi Jannat Mein Mulaaqaat Kisi Ki

[Bekhud Dehlvi]

******************************


Chaand Niklaa Tha Magar Raat Na Thi Pahli Si
Ye Mulaaqaat, Mulaaqaat Na Thi Pahli Si


Rang Kuchh Kam To Huaa Aaj Tere Milne Se
Ye Alag Baat Ke Vo Baat Na Thi Pahli Si

[Nasir Kazmi]

******************************


Kaise Kah Doon Ki Mulaaqaat Nahin Hoti Hai
Roz Milte Hain Magar Baat Nahin Hoti Hai

[Shakeel Badayuni]

******************************


Jaane Vaale Se Mulaaqaat Na Hone Paai
Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Na Hone Paai

[Shakeel Badayuni]

******************************


Kal Raat Zindagi Se Mulaaqaat Ho Gai
Lab Thartharaa Rahe The Magar Baat Ho Gai

[Shakeel Badayuni]

******************************


Dil Men Hai Mulaaqaat Ki Khvaahish Ki Dabi Aag
Mehndi Lage Haathon Ko Chhupa Kar Kahaan Rakhoon

[Kishwar Naheed]

******************************


‘Nadeem’ Jo Bhi Mulaaqaat Thi Adhoori Thi
Ki Ek Chehre Ke Peechhe Hazaar Chehre The

[Ahmed Nadeem Qasmi]

******************************


Har Mulaaqaat Kaa Anjaam Judaai Kyoon Hai
Ab To Har Vaqt Yahi Baat Sataati Hai Hamen

[Shahryar]

******************************


Tujh Se Mil Kar Hamein Rona Tha Bahut Rona Tha
Tangi-E-Vaqt-E-Mulaaqaat Ne Rone Na Diya

[Sudarshan Faakhir]

******************************


Chand Kaliyaan Nishaat Ki Chun Kar
Muddaton Mahv-E-Yaas Rahta Hoon

Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi
Tujh Se Mil Kar Udaas Rahta Hoon!

[Sahir Ludhianvi]

******************************

Post a Comment

0 Comments

–>