Naa-Khuda Shayari




Aane Vaale Kisi Toofaan Ka Rona Ro Kar
Naa-khuda Ne Mujhe Saahil Pe Dubona Chaaha

[Hafeez Jalandhury]

******************************


Na Kar Kisi Pe Bharosa Ke Kashtiyaan Doobin
Khuda Ke Hote Huye Naa-Khuda Ke Hote Huye

[Ahmed Faraz]

******************************


Naa-Khuda Doobne Vaalon Ki Taraf Mud Ke Na Dekh
Na Karenge, Na Kinaaron Ki Tamannaa Ki Hai

[Salik Lucknawi]

******************************


Achchha Yaqin Nahin Hai To Kashti Dubo Ke Dekh
Ek Too Hi Naa-Khuda Nahin Zaalim, Khuda Bhi Hai

[Qateel Shifai]

******************************


Tumhin To Ho Jise Kahti Hai Naa-Khuda Duniya
Bacha Sako To Bacha Lo Ki Doobta Hoon Main

[Majaz]

******************************


Gar Doobna Hi Apna Muqaddar Hai To Suno
Doobein Ge Ham Zaroor Magar Naa-Khuda Ke Saath

[Kaifi Azmi]

******************************


Ehsaan Naa-Khuda Ka Uthaaye Meri Bala
Kashti Khuda Pe Chhod Doon Langar Ko Tod Doon

[Zauq]

******************************


Jab Safina Mauj Se Takara Gaya
Naa-Khuda Ko Bhi Khuda Yaad Aa Gaya

[Fani Nizami Kanpuri]

******************************


Kyonkar Sambhaalte Hamein Vo Naa-Khuda Jo Khud
Saahil Ki Aafiyat Se Bhanvar Dekhte Rahe

[Hashim Raza]

******************************


Naa-Khuda Ko Khuda Kaha Hai To Phir
Doob Jaao, Khuda Khuda Na Karo

[Sudarshan Faakir]

******************************


Kaif-E-Khudi Ne Mauj Ko Kashti Bana Diyaa
Hosh-E-Khuda Hai Ab Na Gham-E-Naa-Khuda Mujhe

[Saghar Nizami]

******************************


Kinaaron Se Mujhe Ai Naa-Khuda Door Hi Rakhna
Vahaan Lekar Chalo Toofaan Jahaan Se Uthne Vaalaa Hai

[Ali Ahmed Jalili]

******************************


Safina Doob Bhi Jaaye To Gham Nahin "Faarigh"
Na Bhool Kar Kabhi Ehsaan-E-Naa-Khuda Lena

[Faarigh Bukhari]

******************************

Post a Comment

1 Comments

  1. DurRusStT..
    Ißß pe.. Yaad aayaa..
    LAA patT'Kaa .. KHUD kinaaRe
    hamein mauz e tuufaan ne -
    SHART L'Gaata duub gyaa
    naa-KHUDAA .. sarwan.

    ReplyDelete

–>