Khat Shayari


 
Ghair Phirta Hai Liye Yoon Tere Khat Ko Ki Agar
Koi Poochhe Ki Ye Kya Hai To Chhupaaye Na Bane

[Mirza Ghalib]

******************************


De Ke Khat Munh Dekhta Hai Naama-Bar
Kuchh To Paighaam-E-Zubaani Aur Hai

[Mirza Ghalib]

******************************


Ghalat Na Tha Hamen Khat Par Gumaan Tasalli Kaa
Na Maane Deeda-E-Deedaar Joo To Kyonkar Ho

[Mirza Ghalib]

******************************


Ho Liye Kyon Naama-Bar Ke Saath Saath
Yaa Rab Apne Khat Ko Ham Pahunchaayen Kya

[Mirza Ghalib]

******************************


Qaasid Ke Aate Aate Khat Ik Aur Likh Rakhoon
Main Jaantaa Hoon Jo Vo Likhenge Jawaab Mein

[Mirza Ghalib]

******************************


Khat Likhenge Gar-Che Matlab Kuchh Na Ho
Ham To Aashiq Hain Tumhaare Naam Ke

[Mirza Ghalib]

******************************


Magar Likhvaaye Koi Us Ko Khat To Ham Se Likhvaaye
Hui Subah Aur Ghar Se Kaan Par Rakh Kar Qalam Nikle

[Mirza Ghalib]

******************************


Vo Khat Ke Purze Udaa Rahaa Thaa
Havaaon Ka Rukh Dikhaa Rahaa Thaa

[Gulzar]

******************************


Husn Thaa Teraa Bahut Aalam-Fareb
Khat Ke Aane Par Bhi Ik Aalam Rahaa

[Meer Taqi Meer]

******************************


Hamaare Khat Ke To Purze Kiye Padhaa Bhi Nahin
Sunaa Jo Tum Ne Ba-Dil Vo Payaam Kis Kaa Thaa

[Daagh Dehlvi]

******************************


Ho Chuka Aish Ka Jalsaa To Mujhe Khat Bheja
Aap Ki Tarah Se Mehamaan Bulaaye Koi

[Daagh Dehlvi]

******************************


Padh Ke Teraa Khat Mere Dil Ki Ajab Haalat Hui
Iztaraab-E-Shauq Ne Ek Hashr Barapaa Kar Diyaa

[Hasrat Mohani]

******************************


Un Ke Khat Ki Aarazoo Hai Un Ke Aamad Kaa Khayaal
Kis Qadar Phailaa Huaa Hai Kaarobaar-E-Intazaar

[Hasrat Mohani]

******************************


Meri Shaam-E-Gham Ko Vo Bahlaa Rahe Hain
Likhaa Hai Ye Khat Mein Ki Ham Aa Rahe Hain

[Akhtar Shirani]

******************************


Den Bhi Javaab-Khat Ki Na Den Kyaa Khabar Mujhe
Kyon Apne Saath Le Na Gayaa Naama-Bar Mujhe

[Safi Lakhnavi]

******************************


Likho Salaam Ghair Ke Khat Mein Ghulaam Ko
Bande Ka Bas Salaam Hai Aise Salaam Ko

[Momin]

******************************


Mit Chale Meri Umeedon Ki Tarah Harf Magar
Aaj Tak Tere Khaton Se Teri Khushboo Na Gai

[Akhtar Sheerani]

******************************


Donon Ka Ek Haal Hai Ye Muddaa Ho Kaash
Vo Hi Khat Us Ne Bhej Diyaa Kyon Javaab Mein

[Momin]

******************************


Likhaa Vahi Thaa Ki Jo Thaa Naseeb Kaa Likkhaa
Balaa Se, Khat Kaa Javaab Us Ne Kuchh Diyaa To Sahi

[Qabil Dehlvi]

******************************


Khat To Bhejaa Hai Par Ab Khauf Yahi Hai Dil Mein
Main Ne Kya Us Ko Likhaa Aur Vo Kyaa Samajhegaa

[Majnu Azimabadi]

******************************


Khat Likh Ke Kabhi Aur Kabhi Khat Ko Jalaa Kar
Tanhaai Ko Rangeen Banaa Kyon Nahin Lete

[Zafar Gorakhapuri]

******************************


Kaise Maanen Ke Unhen Bhool Gayaa Too Ai Kaif
Un Ke Khat Aaj Hamen Tere Sarahaane Se Mile

[Kaif Bhopali]

******************************


Raaz Ki Baaten Likhi Aur Khat Khulaa Rahne Diyaa
Jaane Kyon Rusvaaion Ka Silsilaa Rahne Diyaa

[Sabir Jalalabadi]

******************************


Vo Bhi Shaayad Ro Pade Veeraan Kaaghaz Dekh Kar
Main Ne Use Aakhiri Khat Mein Likhaa Kuchh Bhi Nahin

[Zahur Nazar]

******************************


Khat Dijiyo Chhupaa Ke Mile Vo Agar Kahin
Lenaa Na Mere Naam Ko Ai Naama-Bar Kahin

[Mashraf Ali Khan "Fughaan"]

******************************


Vaan Se Aayaa Hai Javaab-E-Khat Koi Suniyo To Zaraa
Main Nahin Hoon Aap MeinMujh Se Na Samajha Jaaegaa

[Jurrat]

******************************


Ghair Ke Dhoke Mein Khat Le Ke Meraa Qaasid Se
Padhne Ko Padh To Liyaa Naam Magar Chhod Diyaa

[Nizam Rampuri]

******************************


Ek Muddat Se Na Qaasid Hai Na Khat Hai Na Payaam
Apne Vaade Ko Too Kar Yaad Mujhe Yaad Na Kar

[Jaleel Manikpuri]

******************************


Khat Ke Purze Aaye Hain Qaasid Ka Sar Tasveer-E-Ghair
Ye Hai Bhejaa Us Sitam-Gar Ne Mere Khat Kaa Javaab

[Unknown]

******************************


Purze Udaa Ke Khat Ke Ye Ek Purzaa Likh Diyaa
Lo Apne Ek Khat Ke Ye Sau Khat Javaab Mein

[Bismil Dehlvi]

******************************


Allaah Re Fareb-E-Tamannaa Ki Baarahaa
Apne Hi Khat Ko Le Ke Padhaa Naama-Bar Se Aap

[Ummid Amethavi]

******************************


Kisi Ko Bhej Ke Khat Haaye Ye Kaisaa Azaab Aayaa
Ki Har Ek Poochhta Hai Naama-Bar Aayaa, Javaab Aayaa

[Ehsan Marharwi]

******************************


Likh Chuke Ham Jaa Chukaa Khat Gar Yahi Haalat Rahi
Haath Mein Aayaa Qalam Aur Shauq Ka Daftar Khulaa

[Fani Badayuni]

******************************


Kyaa Jaane Likh Diyaa Kyaa Use Iztiraab Mein
Qaasid Ki Laash Aai Hai Khat Ke Javaab Mein

[Momin Khan Momin]

******************************


Siyaahi Aankh Se Le Kar Ye Naamaa Tum Ko Likhtaa Hoon
Ki Tum Naama Ko Dekho Aur Tumhen Dekhen Meri Aankhen

[Unknown]

******************************


Meraa Khat Padh Ke Bole Naama-Bar Se Jaa Khudaa Haafiz
Javaab Aayaa Meri Qismat Se Lekin Laa-Javaab Aayaa

[Shakeel Badayuni]

******************************


Ab Vaham Kaa Ilaaj Ke Khat Deke Un Ke Naam
Aage Chale Hain Chaar Qadam Naama-Bar Se Ham

[Rasaa Rampuri]

******************************


Ho Sake To Javaab De Denaa
Ye Muhabbat Kaa Aakhiri Khat Hai

[Sanam Pratapgadhi]

******************************


Ham Ne Maanaa Ki Nahin Hoti Mukammal Taskin
Khat Ko Bhi Aadhi Mulaaqaat Kahaa Jaataa Hai

[Taabish Lucknawi]

******************************


Jis Par Hamaari Aankh Ne Moti Bichhaye Raat Bhar
Bhejaa Vohi Kaaghaz Use Ham Ne Likhaa Kuchh Bhi Nahin

[Bashir Badr]

******************************


Qayaamat Hai Ye Kah Ke Us Ne Lautaayaa Hai Qaasid Ko
Ki Un Ka To Har Ek Khat Aakhiri Paighaam Hotaa Hai

[Sheri Bhopali]

******************************


Kyaa Kyaa Fareb Dil Ko Diye Iztiraab Mein
Un Ki Taraf Se Aap Likhe Khat Javaab Mein

[Daagh Dehlvi]

******************************


Naama-Bar Too Hi Bataa Too Ne To Dekhe Honge
Kaise Hote Hain Vo Khat Jin Kaa Javaab Aataa Hai

[Qamar]

******************************


Khat Ghair Kaa Padhte The Jo Tokaa To Vo Bole
Akhbaar Ka Parchaa Hai Khabar Dekh Rahe Hain

[Daagh Dehlvi]

******************************


Tavaqqo Hai Dhoke Mein Aa Kar Vo Padh Len
Ki Likkhaa Hai Naamaa Unhen Khat Badal Kar

[Ameer Minai]

******************************


Le Ke Khat Un Kaa Kiyaa Zabt Bahut Kuchh Lekin
Thar-Tharaate Hue Haathon Ne Bharam Khol Diyaa

[Jigar Moradabadi]

******************************


Meraa Khat Us Ne Padhaa Padh Ke Naama-Bar Se Kahaa
Yahi Javaab Hai Is Khat Kaa Koi Javaab Nahin

[Ameer Minai]

******************************


Tumhaare Khat Mein Nayaa Ik Salaam Kis Kaa Thaa
Na Thaa Raqib To Aakhir Vo Naam Kis Kaa Thaa

******************************


Aap Kaa Khat Nahin Milaa Mujh Ko
Daulat-E-Jahaan Mili Mujh Ko

[Aseer Lucknawi]

******************************


Kiya Pehle Khat Mein Bahut Rakam Kaha Phir Zubaan Se Apna Gham
Magar Is Pe Bhi Mera Maajra Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

[Daagh Dehlvi]

*******************************


Kya Kya Fareb Dil Ko Diye Izteraab Mein
Un Ki Taraf Se Aap Likhe Khat Jawaab Mein

[Daagh Dehlvi]

******************************

Tere Khushboo Mein Base Khat Main Jalaataa Kaise

Pyaar Mein Doobe Hue Khat Main Jalaataa Kaise

Tere Haathon Ke Likhe Khat Main Jalaataa Kaise

Tere Khat Aaj Main Gangaa Mein Bahaa Aayaa Hoon

Aag Bahate Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon

[Rajendranath Rahbaar]

*******************************

Post a Comment

0 Comments

–>