Saaqi Shayari

saaqi shayari



Baat Saaqi Ki Na Taali Jaayegi
Kar Ke Tauba Tod Daali Jaayegi

[Habib Jaleel]

**********************************


Koi Samjhaaye Ki Kya Rang Hai Maikhaane Ka
Aankh Saaqi Ki Uthe Naam Ho Paimaane Ka

[Iqbal Sufipuri]

**********************************


Chashm-E-Saaqi Mujhe Har Gaam Pe Yaad Aati Hai
Raasta Bhool Na Jaaoon Kahin Maikhaane Ka

[Iqbal Sufipuri]

**********************************


Mujh Tak Kab Un Ki Bazm Mein Aataa Tha Daur-E-Jaam
Saaqi Ne Kuchh Milaa Na Diyaa Ho Sharaab Mein

[Mirza Ghalib] 

**********************************


Pilaa De Ok Se Saaqi Jo Ham Se Nafrat Hai
Pyaala Gar Nahin Deta Na De Sharaab To De

[Mirza Ghalib] 

**********************************


Saaqi Ki Har Nigaah Pe Bal Khaa Ke Pee Gayaa
Lahron Se Kheltaa Huaa Lahraa Ke Pee Gayaa

[Jigar Moradabadi]

**********************************


Mai Rahe Meena Rahe Gardish Mein Paimaana Rahe
Mere Saaqi Too Rahe Aabaad Maikhana Rahe

[Riyaz Khairabadi]

**********************************


Hai Jab Se Dasht-E-Yaar Mein Saghar Sharab Ka
Kauri Ka Ho Gaya  Hai Katora Gulab Ka

[Aatish]

**********************************


Haathon Mein Yaar Ke Nahin Saghar Sharab Ka
Dast-E-Masih Mein Bhi Hai Qadha Aaftaab Ka

[Aatish]

**********************************


Mujh Se Darya Nosh Ko Saqi Pilata Hai Sharab
Dekhta Hoon Main Zarf-E-Sheesha-O-Paiman Aaj

[Aatish]

**********************************


Saaqi Nahin Be Wajah Ghata Jhoomti Aati
Phir Qasd Hai Shayad Soo-E-Maikhana Kisi Ka

[Hairat Allahabadi]

**********************************


Baada-E-Gulgoon Ka, Mil Jaaye Koi Paimaana Aaj
Saaqiya Kali Ghata Uthi Soo-E-Maikhan Aaj

[Hairat Allahabadi]

**********************************


Too Yeh Likh De Dar-E-Maikhane Ai Peer-E-Mughaan
Zindagi Haich Hai Duniya Mein Mai-Wa-Jaam Ke Ba'd

[Hairat Allahabadi]

**********************************


Khoob Sarshaar Hoon Le Haath Mein Paimaane Ko
Saaqiya Ham Bhi Duaa Dein Tere Maikhaane Ko

[Hairat Allahabadi]

**********************************


Hum Soo-E-Maikhan Saaqi Aap Se Jaate Nahin
Kya Karen Laut Jaata Hai Suboo Ke Naam Par

[Hairat Allahabadi]

**********************************


Fareb-E-Saaqi-E-Mahfil Na Poochhiye "Majrooh"
Sharaab Ek Hai Badle Hue Hain Paimaane

[Majrooh Sultanpuri]

**********************************


Mast Kar Ke Mujhe Auron Ko Laga Munh Saaqi
Ye Karam Hosh Mein Rah Kar Nahin Dekhe Jaate

[Ali Ahmed Jaleeli]

**********************************


Zikr-E-Saaqi Hi Kaafi Nahin Ai 'Fana'
Be-Piye Maikade Mein Guzaaraa Nahin

[Fana Nizami Kanpuri]

**********************************


Shaayad Aa Jayega Saaqi Ko Taras Ab Ke Baras
Mil Na Paaya Hai Un Aankhon Ka Ras Ab Ke Baras

[Rai Rampuri]

**********************************


Aankh Ko Jaam Samajh Baitha Tha Anjaane Mein
Saaqiya Hosh Kahaan Tha Tere Divaane Mein

[Shamim Shahabadi]

**********************************


Ye Rang-E-Bahaar-E-Aalam Hai Kyoon Fikr Hai Tujh Ko Ai Saaqi
Mahfil To Teri Sooni Na Hui Kuchh Uth Bhi Gaye Kuchh Aa Bhi Gaye

[Majaz]

**********************************


Laa Pilaa De Saaqiya Paimaana Paimaane Ke Baad
Hosh Ki Baaten Karoon Ga Hosh Mein Aane Ke Baad

[Unknown]

**********************************


Tere Sheeshe Mein Mai Baaqi Nahin Hai
Bata Kya Too Mera Saaqi Nahin Hai

Samandar Se Mile Pyaase Ko Shabnam
Bakheeli Hai Ye Razzaaqi Nahin Hai

[Allama Iqbal]

**********************************


Ye Alag Baat Hai Saaqi Ki Mujhe Hosh Nahin
Hosh Itanaa Hai Ki Main Tujh Se Faraamosh Nahin

[Unknown]

**********************************


Mast Karnaa Hai To Khud Munh Se Lagaa De Saaqi
Too Pilaaye Gi Kahaan Tak Mujhe Paimaane Se

[Jaleel Manikpuri]

**********************************


Sab Ki Nazron Mein Ho Saaqi Ye Zaroori Hai Magar
Sab Pe Saaqi Ki Nazar Ho Ye Zaroori To Nahin

[Khamosh Dehlvi]

**********************************


Saaqi Nazar Na Aaye To Gardan Jhukaa Ke Dekh
Sheeshe Mein Maahtaab Hai Sach Boltaa Hoon Main

[Unknown]

**********************************


Thi Agar Mai Se Suraahi Teri Khaali Saaqi
To Chiraagh-E-Dar-E-Maikhaana Jalaaya Kyoon Tha

[Unknown]

**********************************


Faza Maghmoom Hai Saaqi Uthaa Chhalkaayen Paimaana
Andhera Badh Chala Hai Laa Zara Qandeel-E-Maikhaana

[Unknown]

**********************************


Dhal Gayaa Aaftaab Ai Saaqi
Laa Pilaa De Sharaab Ai Saaqi

Yaa Suraahi Lagaa Mere Munh Se
Yaa Ulat De Naqaab Ai Saaqi

Mai-Kada Chhod Kar Kahaan Jaaoon
Hai Zamaanaa Kharaab Ai Saaqi

Jaam Bhar De Gunaah-Gaaron Ke
Ye Bhi Hai Ik Savaab Ai Saaqi

Aaj Peene De Aur Peene De
Kal Karen Ge Hisaab Ai Saaqi

[Sudarshan Faakhir]

**********************************


Jaam-E-Sharaab Haath Se Saaqi Ne Rakh Diya
Jab Menh Baras Ke Dhoop Chaman Mein Zaraa Khili

[Daagh Dehlvi]

**********************************


Saaqiya Tishnagi Ki Taab Nahin
Zeher De De Agar Sharaab Nahin

Roz Marta Hun Roz Jeeta Hun
Zindagi Ka Koi Hisaab Nahin

[Daagh Dehlvi]

*************************************


Jaam-E-Sharaab Haath Se Saaqi Ne Rakh Diya
Jab Menh Baras Ke Dhoop Chaman Mein Zaraa Khili

[Daagh Dehlvi]

*******************************************


Saaqiya Tishnagi Ki Taab Nahin
Zeher De De Agar Sharaab Nahin

Roz Marta Hun Roz Jeeta Hun
Zindagi Ka Koi Hisaab Nahin

[Daagh Dehlvi]

*******************************************


Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jis Mein Woh Shai La,
Laga Ke Barf Mei’n Saqi, Suraahi-E-Mai La

 [Insha]

*******************************************


Jaam Bhar De Gunahgaron Ke, Ye Bhi Ik Sawaab Ai Saaqi
Aaj Peene De Aur Peene De, Kal Karen Ge Hisaab Ai Saaqi

Sharab Aaj Too Saqi Na Rakh Chupaaye Hue
Ke Door Door Se Hain Baada-Khawar Aaye Hue

Tasavvur Arsh Par Hai Aur Sar Hai Paa-E-Saaqi Par
Gharz Kuch Aur Dhun Mein Is Ghadi Mai-Khwaar Baithe Hain

[Insha]

*******************************************


Tere Dar Pe Vo Aa Hi Jaate Hain
Jin Ko Peene Ki Aas Ho Saaqi

Aaj Itni Pilaa De Aankhon Se
Khatm Rindon Ki Pyaas Ho Saaqi

Halka Halka Suroor Hai Saaqi
Baat Koi Zaroor Hai Saaqi

Teri Aankhen Kisi Ko Kyaa Dengi
Apnaa Apnaa Suroor Hai Saaqi

Teri Aankhon Ko Kar Diyaa Sajdaa
Meraa Pahlaa Qusoor Hai Saaqi

Tere Rukh Pe Ye Pareshaan Zulfen
Ik Andhere Men Noor Hai Saaqi

Teri Aankhen Kisi Ko Kyaa Dengi
Apnaa Apnaa Suroor Hai Saaqi

Peene Vaalon Ko Bhi Nahin Maaloom
Maikadaa Kitni Door Hai Saaqi

[Abdul Hameed Adam]

********************************

Post a Comment

0 Comments

–>