Sharab Shayari

sharab shayari



Ye Nau-Bahaar Ye Abr-O-Havaa Ye Rang-E-Sharaab
Chalo Jo Ho So Ho Ab To Gunaah Kar Loon Ga

[Akhtar Sheerani]

*****************************


Woh Mast Hoon Ke Saghar-E-Mai Jab Main Paa Gaya
Ek Baar ‘Yaa Ghafoor’ Kaha Aur Chadha Gaya

[Ameer Minai]

*****************************


Woh Chaat Doon Kare Na Mazammat Sharab Ki
Vaayez Ke Munh Pe Mohar Laga Donn Kabaab Ki

[Ameer Minai]

*****************************


Ghaat Mein Mustahib Ko Rahne Do
Mast Bhi Hoshiaar Rahte Hain

[Ameer Minai]

*****************************


Khum Ke Khum Saaf Jo Kar Jaate They Jo Baaton Mein
Zikr-E-Khair Aaj Tak Unn Ka Hai Kharaabaton Mein

[Ameer Minai]

*****************************


Pee Ke Mai Baithe Va’az Sunne ‘Ameer’
Yeh Badi Tum Ne Hoshiaari Ki

[Ameer Minai]

*****************************


Mujh Ko Zahid Nahin Sharab Haraam
Teesrey Din Mayassar Aaie Hai

[Ameer Minai]

*****************************


Qazi Aaye Ki Mustahab Aaye
Ab To Ham Mai-Kade Mein Aa Baithe

[Ameer Minai]

*****************************


Majlis-E-Wa’az Mein Jab Baithte Hain Ham Mai-Kash
Dukhtar-E-Raz Ko Bhi Pahloo Mein Bitha Lete Hain

[Ameer Minai]

*****************************


Mili Hai Dukhtar-E-Raz Lad Jhagad Ke Qazi Se
Jehad Kar Ke Jo Aurat Mile Haraam Nahin

[Ameer Minai]

*****************************


Jo Mast Hosh Mein Aane Ka Qasd Karta Hai
Pukarta Hai Yeh Saaqi Ke Hoshiyar Hoon Main

[Ameer Minai]

*****************************


Saqiya! Dukhtar-E-Raz Ka To Bada Rutba Hai
Be-Wazoo Chhootaa Nahin Paimaane Ko

[Ameer Minai]

*****************************


Khum Bhi Roya Mujhe Paimana Bhi Roya Mujh Ko
Jitney They Chhote Bade Sab Sar-E-Maatam Mein Rahe

[Ameer Minai]

*****************************


Jam-E-Mai Kaatib-E-A’maal Ko Bhi De Saqi
Do Buzurg Aaye Hain Saath Agle Zamaane Waale

[Ameer Minai]

*****************************


Ham Woh Mai-Kash They Ke Pee Jab Tak Sharab
Daaman-E-Qazi Se Munh Ponchha Kiye

[Ameer Minai]

*****************************


Qazi Wa Mustahib-E-Shahr Sidhaare Haj Ko
Mai-Kasho Khoob Piyo Halaq Ke Darbaan Gaye

[Ameer Minai]

*****************************


Bay’at-E-Peer-E-Mughaan Tarfa Maza Deti Hai
Silsila Saqi-E-Kausar Se Milaa Deti Hai

[Ameer Minai]

*****************************


Hijr Mein Kaif-E-Iztaraab Na Poochh
Khoon-E-Dil Bhi Sharaab Honaa Thaa

[Majaz]

***********************************


Aaye Kuchh Abr Kuchh Sharaab Aaye
Us Ke Baad Aaye Jo Azaab Aaye

[Faiz Ahmed Faiz]

***********************************


Garche Ahal-E-Sharaab Hain Ham Log
Ye Na Samajho Kharaab Hain Ham Log

[Jigar Moradabadi]

***********************************


Zaahid Sharaab Peene De Masjid Mein Baith Kar
Yaa Vo Jagah Bataa Jahaan Par Khudaa Na Ho

[Mirza Ghalib]

***********************************


Go Haath Ko Jumbish Nahin Aankhon Mein To Dam Hai
Rahane Do Abhi Saaghar-O-Meenaa Mere Aage

[Mirza Ghalib]

***********************************


Vo Cheez Jis Ke Liye Ham Ko Bahisht Hai Azeez
Sivaaye Baada-E-Gulfaam-E-Mushk-Boo Kyaa Hai

[Mirza Ghalib]

***********************************


Piyoon Sharaab Agar Khum Bhi Dekh Loon Do Chaar
Ye Sheesha-O-Qadah-O-Kooza-O-Suboo Kya Hai

[Mirza Ghalib]

***********************************


'Ghalib' Chhuti Sharaab Par Ab Bhi Kabhi-Kabhi
Peetaa Hoon Roz-E-Abr-O-Shab-E-Maahtaab Mein

[Mirza Ghalib]

***********************************


Mujh Tak Kab Un Ki Bazm Mein Aataa Thaa Daur-E-Jaam
Saaqi Ne Kuchh Milaa Na Diyaa Ho Sharaab Mein

[Mirza Ghalib]

***********************************


Pilaa De Ok Se Saaqi Jo Ham Se Nafrat Hai
Pyaala Gar Nahin Detaa Na De Sharaab To De

[Mirza Ghalib]

***********************************


Dekhaa Kiye Vo Mast Nigaahon Se Baar Baar
Jab Tak Sharaab Aaye Kai Daur Ho Gaye

[Shad Azeemabadi]

***********************************


Nikle Ho Mai-Kade Se Abhi Munh Chhupa Ke Tum
Daabe Huye Baghal Mein Suraahi Shraab Ki

[Zauq]

***********************************


Tumhari Be-Rukhi Ne Laaj Rakh Li Baada-Khaane Ki
Tum Aankhon Se Pila Dete To Paimaane Kahan Jaate

[Qateel Shifai]

*******************************************


Sheikh Ji Thori Se Pee Lo Aaj To
Kaun Dekhe Ga Andheri Raat Hai

[Abdul Hamid Adam]

*******************************************


Jalta Hoon Hijr-E-Shaahid-O-Yaad-E-Sharaab Mein
Shauq-E-Savaab Ne Mujhe Daala Azaab Mein

[Momin]

*******************************************


‘Zauq’ Jo Madarse Ke Bigde Hue Hain Mullah
Un Ko Maikhaane Mein Le Aao Sanvar Jaayenge

[Zauq]
*******************************************


Tera Firaaq Jaan-E-Jaan Aish Tha Kya Mere Liye
Yaani Tere Firaaq Mein Khoob Sharaab Pee Gayi

[Juan Elia]

*******************************************


Ye Janaab-E-Sheikh Ka Falsafa Bhi Alag Hai Saare Jahan Se
Jo Wahaan Piyo To Halaal Hai Jo Yahan Piyo To Haraam

[Jigar Moradabadi]

*******************************************


Raat Hans Hans Ke Yeh Kahti Hai Ki Mai-Khaane Mein Chal
Phir Kisi Shahnaaz-E-Lala-Rukh Ke Kaashaane Mein Chal

[Majaz]

*******************************************


Poochhieye Mai-Kashon Se Lutf-E-Sharaab,
Yeh Maza Paak-Baaz Kya Jaane’n

[Daagh Dehlvi]

******************************************


Go Haath Ko Jumbish Nahin,Aankhon Mein To Dam Hai,
Rahne Do Abhi,Saaghar-O-Meena Mere Aage

[Ghalib]

*******************************************


Botal Khuli Jo Hazrat-E-Waa'iz Ke Waastey
Maarey Khushi Ke Kaag Bhi Do Gazz Uchchcal Gaya

[Ghalib]

*******************************************


Ai Rehmat-E-Tamaam Meri Har Khata Maa'f
Main Intiha-E-Shauq Mein Ghabraa Ke Pee Gaya

Mai Mein Koi Khami Hai Na Saaghar Mein Koi Khot,
Peena Nahi'n Aaye Hai To Chalkaaye Chalo Ho

[Kalim Aajiz]

*******************************************


Kahaan Mai-Khaane Ka Darwaaza ‘Ghalib’ Aur Kahaan Waaiz
Par Itna Jaante Hain Kal Wo Jaata Tha Ke Ham Nikle

[Ghalib]

*******************************************


Masti Mein Sharaab Ki Jo Dekha Alam Ye Tamaam Khwaab Nikla
Shaikh Aane Ko Mai-Kade Mein Aaya, Par Ho Ke Bahot Kharab Nikla

[Meer Taqi Meer]

*******************************************


Shab Ko Wo Piye Sharaab Nikla, Jaana Ye Ki Aaftaab Nikla
Qurbaan Piaala-E-Mai-Naab, Jaise Ki Tera Hijaab Nikla

[Meer Taqi Meer]

*******************************************


Wo Be-Hisaab Jo Pee Ke Kal Sharaab Aaya
Agar-Che Mast Tha Main Par Mujhe Hijaab Aaya

[ Bahadurshah Zafar]

*******************************************


Is Mahfil-E-Kaif-O-Masti Mein, Is Anjuman-E-Irfaani Mein,
Sab Jaam Ba-Kaf Baithe Hi Rahe,Hum Pee Bhi Gaye, Chhalka Bhi Gaye

[Majaz]

*******************************************


Ek Chullu Mein Bahot "Daagh" Behak Uth'te They
Aaj Sunte Hain Nikaale Gaye Maikhaane Se

[Daagh Dehlvi]

*******************************************


Phir Dekhieye Andaaz-E-Gul-Afshaani-E-Guftaar,
Rakh De Koi Paimaana-E-Sahba Mere Aage

[Ghalib]

*******************************************


Meri Tabaahi Ka Ilzaam Ab Sharaab Pe Hai
Main Aur Karta Bhi Kya, Tum Pe Aa Rahi Thi Baat

[Bashir Badr]

*******************************************


Raat Pi Zam Zam Pe Mai, Aur Subah Dam,
Dhoey Dhabbe Jama-E-Ahraam Ke

[Ghalib]

*******************************************


Kuchh Muhtesib Ka Khauf Kuchh Sheikh Ka Lihaaz,
Peeta Hoon Chhip Ke Daaman-E-Abr-E-Bahaar Mein

[Hafeez]

*******************************************


Main To Jab Maanoon Ke Bhar De Saghar-E-Har Khaas-O-Aam,
Yoon To Jo Aaya, Wohi Peer-E-Mughaan Banta Gaya

Udhaar Ki Peete The Mai Aur Kehte The Ki
Rang Laaye Gi Hamaari Faaqa-Masti Ek Din

[Ghalib]

*******************************************


Rakhte Hain Pak Dil Ko Neeyat Aur Nigah Ko
Peete Hain Hum Sharaab Bahot Ehtaraam Se

Guzri Madaam Uski Jawanaan-E-Mast Mein,
Peer-E-Mughaan Bhi Turfa Koi Peer Mard Tha

[Meer Taqi Meer]

*******************************************


Ai ‘Zauq’ Dekh, Dukhtar-E-Raz Ko Na Munh Laga,
Chhut’ti Nahin Hai Munh Se Yeh Kaafir Lagi Hui

[Zauq]

*******************************************


Na Dekha Jo Kuchh Jaam Mein Jaam Ne Apne
So Yak Qatra-E-Mai Mein Ham Dekhte Hain

[Sauda]

*******************************************


Abhi Rahne De Kuchh Din Lutf-E-Naghma-E-Masti-E-Sahba
Abhi Yeh Saaz Rahne De Abhi Yeh Jaam Rahne De

[Majaz]

*******************************************


‘Ghalib’ Chuti Sharaab, Par Ab Bhi Kabhi Kabhi ,
Peeta Hoon Roz-E-Abr-O-Shab-E-Mahtab Main

Mai Se Gharaz Nishaat Hai,Kis Roo-Siyah Ko,
Ek Go-Na Be-Khudi, Mujhe Din Raat Chaahiye

[Ghalib]

*******************************************


Hai Tevari Chadhi Hui Andar Naqaab Ke
Hai Ik Shikan Padi Hui Tarf-E-Naqaab Mein

[Ghalib]

*******************************************


Bahut Sahi Gham-E-Geti Sharaab Kam Kya Hai
Ghulaam-E-Saaqi-E-Kausar Hoon Mujhko Gam Kya Hai

[Ghalib]

*******************************************


Gar-Che Ahl-E-Sharaab Hain Ham Log
Ye Na Samajho Kharaab Hain Ham Log

*************************************


Gar Aag Mai-Kashon Ki Sazaa Hai To Yaa Khudaa
Dozakh Mein Ek Nahar Bahaa De Sharaab Ki

[Unknown]

***********************************


Meri Sharaab Ki Kyaa Qadr Tujh Ko Ai Vaaiz
Jise Main Pi Ke Duaa Doon Vo Jannati Ho Jaaye

[Unknown]

***********************************


Meri Tabaahi Ka Ilzaam Ab Sharaab Pe Hai
Main Aur Kartaa Bhi Kya Tum Pe Aa Rahi Thi Baat

[Unknown]

***********************************


Sheeshaa Rahe Baghal Mein Jaam-E-Sharaab Lab Par
Saaqi Yahi Mazaa Hai Do Din Ki Zindagi Mein

[Unknown]

***********************************


Gham-E-Duniyaa Bhi Gham-E-Yaar Mein Shaamil Kar Lo
Nasha Badhata Hai Sharaaben Jo Sharaabon Mein Milen

[Ahmed Faraz]

***********************************


Ai Shaikh Jo Bataaye Mai-E-Ishq Ko Haraam
Aise Ke Do Lagaaye Bhigo Ke Sharaab Mein

[Daagh Dehlvi]

***********************************


Gale Mila Hai Woh Mast-E-Shabaab Barson Mein
Hua Hai Dil Ko Suroor-E-Sharaab Barson Mein

Nigaah-E-Mast Se Us Ko Hua Yeh Haal Mera
Ki Jaise Pee Ho Kisi Ne Sharaab Barson Mein

[Daagh Dehlvi]

***********************************


Ham Jaante Hain Aaye Hain Maatam Ko Farishtey
Jis Bazm Mein Shaghl-E-Mai-O-Saaghar Nahin Hota

[Daagh Dehlvi]

***********************************


Mere Ashk Bhi Hain Is Mein Ye Sharaab Ubal Na Jaaye
Meraa Jaam Chhoone Vaale Teraa Haath Jal Na Jaaye

[Anwar Mirzapuri]

***********************************


Rooh Kis Mast Ki Pyaasi Gai Maikhaane Se
Mai Udi Jaati Hai Saaqi Tere Paimaane Se

[Unknown]

***********************************


Na Dil Mein Koi Gham Rahe Na Meri Aankh Nam Rahe
Har Ek Dard Ko Mitaa Sharaab Laa Sharaab De

[Ibrahim Ashk]

***********************************


Yahaan Koi Na Jee Sakaa, Na Jee Sake Gaa Hosh Mein
Mitaa De Naam Hosh Kaa, Sharaab Laa Sharaab Laa

[Madanpal]

***********************************


Tum Nahin Gham Nahin Sharaab Nahin
Aisi Tanhaai Kaa Javaab Nahin

[Saeed Rahi]

***********************************


Chhalak Ke Kam Na Ho Aisi Koi Sharaab Nahin
Nigaah-E-Nargis-E-R'anaa Teraa Javaab Nahin

[Firaq Gorakhpuri]

***********************************


Rah Gai Jaam Mein Angdaaiyaan Leke Sharaab
Ham Se Maangi Na Gai Un Se Pilaai Na Gai

***********************************


Botal Khuli Jo Hazrat-E-Waaiz Ke Waaste
 Maare Khushi Ke Kaag Bhi Do Gaz Uchhal Gaya

Peeta Baghair Izm Ye Kab Thi Meri Majaal,
Dar-Pardah Chasm-E-Yaar Ki Sheh Paa Ke Pee Gaya

**********************************


‘Sauda’ Sharab-E-Ishq Na Kehte The Hum Na Pi
Aakhir Maza Na Paaya Ab Us Ke Khumaar Ka

[Sauda]

**********************************


Tere Hath Se Mere Honth Tak
Vahi Intezar Ki Pyass Hai

Mere Naam Ki Jo Sharab Thi
Kahi Raste Mein Chhalak Gayi

[Bashir Badr]

**********************************

Maikada Tha, Chandani Thi, Main Na Tha,
Ik Mujassam Bekhudi Thi Main Na Tha ,

Ishq Jab Dam Todta Tha Tum Na The
Maut Jab Sar Dhun Rahi Thi Main Na Tha

[ Abdul Hamid Adam ]

**********************************


Lutf-E-Mai Tujh Se Kya Kahun, Zahid,
Haaye Kambakht Tu Ne Pee Hi Nahin.

[ Dagh Dehlvi ]

**********************************


Nikal Kar Dair-O-Ka’ba Se Agar Milta Na Maikhana,
To Thukraaey Hue Insaan, Khuda Jaane, Kahaan Jaate.

[ Qateel Shifai ]

**********************************


Hamen Saghar-O-Bada Ke Dene Mein Ab, Kare Der Jo Saqi, To Haaye Ghazab!
Ke Yeh Ahd-E-Nishat, Yeh Daur-E-Tarab, Rahe Ga Jahaan Mein Sada Na Raha.

[ Bahadur Shah Zafar ]

**********************************


Kabhi Khush Bhi Kiya Hai Dil Kisi Rind -E-Sharaabi Ka,
Bhida De Munh Se Munh, Saqi, Hamaara Aur Gulaabi Ka.

[ Meer Dard ]

**********************************


Saqia, Yaan Lag Raha Hai Chal Chalaao,
Jab Talak Bas Chal Sake, Saaghar Chale.

[ Meer Dard ]

**********************************


Yeh Shokh Fiza, Yeh Taaza Chaman, Yeh Mast Ghata, Yeh Sard Hawa,
Kaafir Hai Agar Is Waqt Bhi Koi Rukh Na Kare Maikhaanon Ka.

[ Josh Malihabadi]

**********************************


Phir Dekhiye Andaaz-E-Gulafshaani-E-Guftaar,
Rakh De Koi Paimaana-E-Sahba Mere Aage.

[ Daagh Dehlvi]

**********************************


Tauba Tauba! Sheikh Ji,Tauba Ka Phir Kisko Khayaal,
Jab Woh Khud Kah De Ke Pi, Thodi Si Pi, Mere Liye.

[ Hafeez Jalandhri]

**********************************


Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jis Mein Woh Shai La,
Laga Ke Barf Mein Saqi, Suraahi-E-Mai La.

[ Insha ]

**********************************


Kuchh Muhtsibon Ki Khilwat Mein, Kuchh Waaiz Ke Ghar Jaati Hai,
Hum Bada-Kashon Ke Hisse Ki Ab Jaam Mein Kam Kam Aati Hai.

[ Faiz Ahmad Faiz ]

**********************************


Vaaiz Saboot Laaye Jo Mai Ke Jawaaz Mein,
‘Iqbal’ Ko Yeh Zid Hai Ke Peena Bhi Chhor De.

[ Allama Iqbal ]

**********************************


Sharab Aaj Too Saqi Na Rakh Chupaaye Hue
Ke Door Door Se Hain Baada-Khawar Aaye Hue

[ Kalim Aajiz ]

**********************************


Hai Hawa Mein Sharaab Ki Taaseer,
Baada-Noshi Hai Baada- Paimaai.

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Laa Pila, Saqi, Sharaab-E-Arghawaani Phir Kahaan,
Zindagaani Phir Kahaan, Nadaan Jawaani Phir Kahaan.

[ Akhtar Sheerani ]

**********************************


Is Mahfil-E-Kaif-O-Masti Mein, Is Anjuman-E-Irfaani Mein,
Sab Jaam Ba-Kaf Baithe Hi Rahe, Hum Pi Bhi Gaye, Chhalka Bhi Gaye

[ Majaz ]

**********************************


Muhtesib Ki Khair Ho, Ooncha Hai Usi Ke Faiz Se,
Rind Ka, Saqi Ka, Mai Ka, Khum Ka, Paimaane Ka Naam.

[ Faiz Ahmad Faiz ]

**********************************


Har Chand Ho Mushahda-E-Haq Ki Guftagoo,
Banti Nahin Hai Bada-O-Saghar Kahe Baghair

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Main Maikade Ki Rah Se Ho Kar Guzar Gaya,
Warna Rah-E-Hayat Bahut Hi Taweel Thi.

[ Abdul Hamid Adam ]

**********************************


Kyon Radd-E-Qadah Kare Hai, Zahid,
Mai Hai, Magas Ki Qai Nain Hai.

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Main To Jab Maanoon Ke Bhar De Saghar-E-Har Khaas-O-Aam,
Yoon To Jo Aaya, Wohi Peer-E-Mughaan Banta Gaya.

[ Majrooh Sultanpuri ]

**********************************


Yaaro, Mujhe Maaf Rakho, Main Nashe Mein Hoon,
Ab Do To Jaam Khali Hi Do, Main Nashe Mein Hoon.

[ Mir Taqi Mir ]

**********************************


Toote Teri Nigah Se Agar Dil Habab Ka,
Paani Bhi Phir Piyain To Maza Hai Sharab Ka.

[ Sauda ]

**********************************


‘Meer’, Un Neem-Baaz Aankhon Mein,
Saari Masti Sharaab Ki Si Hai.

[ Mir Taqi Mir ]

**********************************


Aaey The Hanste Khelte Maikhaane Mein, ‘Firaq’,
Jab Pi Chuke Sharaab To Sanjeeda Ho Gaye.

[ Firaq Gorakhpuri ]

**********************************


Yeh Maikhana Hai, Bazm-E-Jam Nahin Hai,
Yahan Koi Kisi Se Kam Nahin Hai.

[ Jigar Moradabadi]

**********************************


Main Aur Bazm-E-Mai Se Yoon Tishna-Kaam Aaoon,
Gar Main Ne Ki Thi Tauba, Saqi Ko Kya Hua Tha.

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Kal Ke Lieye Kar Aaj Na Khissat Sharaab Mein,
Yeh Soo-E-Zan Hai Saqi-E-Kausar Ke Baab Main.

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Kuchh Muhtesib Ka Khauf Kuchh Sheikh Ka Lihaaz,
Peeta Hoon Chhip Ke Daaman-E-Abr-E-Bahaar Mein.

[ Hafeez Jalandhari]

**********************************


Vaaiz Na Khud Peo, Na Kisi Ko Pila Sako,
Kya Baat Hai Tumhari Sharaab-E-Tahoor Ki.

 [ Mirza Ghalib]

**********************************


Bole Woh, Aks-E-Rukh Ko Jo Dekha Sharab Mein
Ek Aaftaab Aur Hai Is Aaftaab Mein

[Hairat Allahabadi]

**********************************


Rind Jo Mujh Ko Samajhte Hain Unhen Hosh Nahin
Maikda-Saaz Hoon Main, Makada Bardosh Nahin

[Jigar Moradabadi]

**********************************


Kabhi Un Mudbahri Aankhon Se Piya Tha Ek Jam
Aaj Tak Hosh Nahin, Hosh Nahin, Hosh Nahin

[Jigar Moradabadi]

**********************************


Haram-O-Dair Mein Rindon Ka Thikana Hi Na Tha
Who To Kahiye, Amaan Mil Gayi Maikhane Mein

[Jigar Moradabadi]

**********************************


Kyonkar Na Lutf Bada-Kashi Ka Ho Aab Mein,
Baarish Mein Jo Haroof Hain, Woh Hain Sharaab Mein.

[ Unknown ]

**********************************


Mila Ke Qatra-E-Shabnam Mein Rang-O-Nikhat-E-Gul,
Koi Sharaab Banaao, Bahaar Ke Din Hain.

[ Akhtar Ansari]

**********************************
Tu Ne Qasam Mai-Kashi Ki Khaai Hai, ‘Ghalib’,
Teri Qasam Ka Kuchh Aitbaar Nahin Hai.

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Guzri Mudaam Uski Jawanaan-E-Mast Mein,
Peer-E-Mughan Bhi Turfa Koi Pir Mard Tha.

[ Mir Taqi Mir ]

**********************************


Rind Jo Zarf Utha Lein Wohi Kooza Ban Jaaye,
Jis Jagah Baith Ke Pi Lein Wohi Maikhaana Bane.

[ Asghar Gondvi ]

**********************************


Jab Maikada Chhuta To Phir Kya Ho Jagah Ki Qaid,
Masjid Ho, Madarsa Ho, Ya Koi Khanqah Ho.

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Jaan Kar Minjumla-E-Khaasaan-E-Maikhaana Mujhe,
Muddaton Roya Karenge Jaam-O-Paimana Mujhe.

[ Jigar Moradabadi]


**********************************


Tod Baithe Ja Ke Hum Jaam-O-Saboo, Phir Humko Kya,
Aasmaan Se Baada-E-Gulfaam Gar Barsa Kare.

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Pahunchi Yahaan Bhi Sheikh-O-Brahaman Ki Guftagoo,
Ab Maikadah Bhi Sair Ke Qaabil Nahin.

[ Unknown ]

**********************************


Sarf-E-Bahaa-E-Mai Hue Aalaat-E-Maikashi,
They Yeh Hi Do Hisaab, So Yoon Paak Ho Gaye.

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Dil-E-Pur-Khoon Ki Ik Gulabi Se,
Hum Rahe Umr Bhar Sharaabi Se.

[ Mir Taqi Mir ]

**********************************


Giriya-E-Shab Se Surkh Hain Aankhen,
Mujh Bala-Nosh Ko Sharaab Kahaan

[ Mir Taqi Mir ]

**********************************


Agle Waqton Ke Hain Yeh Log, Inhen Kuchh Na Kaho,
Mai-O-Naghma Ko Jo Andoh-E-Ruba Kahte Hain.

[ Mirza Ghalib ]

**********************************


Zindagi Ka Lutf Ho Udti Rahe Har-Dam 'Riyaz'
Ham Hon Sheeshe Ki Pari Ho Ghar Pari-Khaana

Mai Rahe Meena Rahe Gardish Mein Paimaana Rahe
Mere Saaqi Too Rahe Aabaad Maikhana Rahe

[Riyaz Khairabadi]

**********************************


Main Jis Mein Aag Bhar Kar Din Raat Peeta Hoon
Koi Chhoo Bhi Nahin Sakta Woh Jaam-E-Aatish Mera

[Seemaab Akbarabadi]

**********************************


Zabaan Kehne Se Ruk Jaaye Wahi Dil Ka Hai Afsaana
Na Poochho Mai-Kashon Se Kyon Chhalak Jaata Hai Paimaana

[Irfan]

**********************************


Main Jis Mein Aag Bhar Kar Din Raat Peeta Hoon
Koi Chhoo Bhi Nahin Sakta Woh Jaam-E-Aatish Mera

[Seemaab Akbarabadi]

**********************************


Nigah-E-Saqi Se Paiham Chalak Rahi Hai Sharab,
Pio Ki Peene-Pilane Ki Rat Ai Hai,

[ Faiz Ratlami ]

**********************************


Mai Nazar Se Pee Raha Hoon Ye Sama Badal Na Jaye,
Na Jhukaao Tum Nigahain Kahin Raat Dhal Na Jaye,
Mere Ashk Bhi Hain Is Main Ye Sharab Ubal Na Jaye,
Mera Jaam Choonewale Tera Hath Jal Na Jaye.

[ Anwar Mirzapuri ]

**********************************


Mai Mein Koi Khami Hai Na Sagar Main Koi Khot,
Peena Nahin Aaye Hai To Chalkaye Chalo Ho.

[ Kalim Aajiz ]

**********************************


Log Chulloo Se Pee Rahe Hain Sharaab
Baada-Khaana Hai Kiya Suboo Pamaal!

[ Kalim Akhtar

**********************************


Kaun Rangeen Hai, Nazar Ki Sharaab
Haath Mein Jaam Utha Ke Dekh Liya

[ Kalim Akhtar ]

**********************************


Shab-E-Firaaq Guzaari Hai Humne Barson Baras
Ai Saaqi-E-Gham-E-Dil! Aa, Sharaab Likhne Aa

[ Kalim Akhtar ]

**********************************

Post a Comment

1 Comments

  1. ANWARULLAH SHAREEF13 April 2016 at 01:06

    Sharaab dar asl wo aab hai Jo shar Ko badhava deta hai....
    Insaan kucb km shareer nahi Jo sharaab Ko ilzaam deta hai

    ReplyDelete

–>