Zahid Shayari

 
zahid


Masjid Mein Bulaate Hain Hamein Zaahid-E-Naa-Fahm
Hotaa Kuchh Agar Hosh To Maikhaane Na Jaate

[Ameer Minai]

**************************************


Sab Hasin Hain Zaahidon Ko Naa-Pasand
Ab Koi Hoor Aaye Gi In Ke Liye

[Ameer Minai]

**************************************


Josh-E-Rahmat Ke Vaaste Zaahid
Hai Zaraa Si Gunah-Gaari Shart

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Lutf-E-Mai Tujh Se Kya Kahoon Zaahid
Haaye Kambakht Toone Pee Hi Nahin

[Daag Dehlvi]

**************************************


Zaahid Maza To Jab Hai Azaab-E-Savaab Ka
Dozakh Mein Baada-Kash Na Ho Jannat Mein Too Na Ho

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Dekh Us Chashm-E-Mast Ko Zaahid
Tujh Se Itni Bhi Pee Nahin Jaati

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Mol Jannat Ka Hua Naqd-E-Ibaadat Zaahid
Haaye Kahin Maal Kahin Daam Liye Jaate Hain

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Jo Mai-Farosh Se Sauda Bane To Kar Lena
Kami Ho Hazrat-E-Zaahid Vo Ham Se Bhar Lena

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Aashiqi Se Mile Ga Ai Zaahid
Bandagi Se Khuda Nahin Milta

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Apni Tasbeeh Rahne De Zaahid
Daana-Daana Shumaar Kaun Kare

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Hua Hai Chaar Sajdon Par Ye Daava Zaahido Tum Ko
Khuda Ne Kya Tumhaare Haath Jannat Bech Daali Hai

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Is Tauba Par Hai Naaz Mujhe Zaahid Is Qadar
Jo Toot Kar Shareek Hoon Haal-E-Tabaah Mein

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Ai Shaikh Jo Bataaye Mai-E-Ishq Ko Haraam
Aise Ke Do Lagaaye Bhigo Ke Sharaab Mein

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Yun To Barson Na Pilaaoon Na Piyoon Zaahid
Tauba Karte Hi Badal Jaati Hai Niy’yat Meri

[Daagh Dehlvi]


**************************************


Zaahid Sharaab Peene De Masjid Mein Baith Kar
Ya Woh Jagah Bata De Jahan Par Khuda Na Ho

[Daagh Dehlvi]

**************************************


Duniya Ki Yahi Rasm Hai, Romi Ho Ya Shaami
Sultaan Ki Ghulaami, Kahin Mulla Ki Ghulaami

[Unknown]

**************************************


Zaahid Ye Meri Shokhi-E-Rindaana Dekhna
Rahmat Ko Baaton Baaton Mein Bahla Ke Pi Gaya

[Jigar Moradabadi]

**************************************


Zahid Ka Dil Na Khatir-E-Mai-Khwaar Toriye
Sau Baar Tauba Keejiye Sau Baar Toriye

[Jigar Moradabadi]

**************************************


Hajw-E-Mai Ne Tera Ai Shaikh Bharam Khol Diya
Too, To Masjid Mein Hai Neeyat Teri Maikhaane Mein

[Jigar Moradabadi]

**************************************


Ai Mustahib! Na Phenk, Mere Mustahib Na Phenk
Zalim! Sharab Hai, Arey Zalim Sharab Hai

[Jigar Moradabadi]

**************************************


Bazm-E-Saqi Mein Zara Dekh To Chal Kar Zahid
Kya Bahaaren Hain Chhalakte Huwe Paimaane Mein

[Jigar Moradabadi]

**************************************


Zahid Kuchh Aur Ho Na Ho Maikhane Mein Magar
Kya Kam Yeh Hai Fitna-E-Dair-O-Haram Nahin

[Jigar Moradabadi]

**************************************


Gunaahgar Ke Dil Se Nab Ach Ke Chal Zahid
Yehin Kahin Teri Jannat Bhi Paayi Jaati Hai

Sukoon Hai Maut Yahaan Zauq-E-Justujoo Ke Iye
Yeh Tishnagi Who Nahin Jo Bujhaai Jaati Hai

[Jigar Moradabadi]

**************************************


Jahaan Se Raasta Bhoola Hai Baarahaa Zaahid
Vahin Se Raah Mudi Hai Sharaab-Khaane Ki

[Asar Lucknawi]

**************************************


Rind-E-Kharaab-Haal Ko Zaahid Na Chhed Too
Tujh Ko Paraai Kya Padi Apni Nibhed Too

[Ibrahim Zauq]

**************************************


Zaahid Sharaab Peene Se Kafir Hua Main Kyon
Kya Derh Chulloo Paani Mein Imaan Bah Gaya

[Ibrahim Zauq]

**************************************


Samajhaata Kya Hai Too Deevaan-Gaan-E-Ishq Ko Zaahid
Ye Ho Jaayenge Jis Jaanib Usi Jaanib Khuda Hogaa

[Jigar Moradabadi]

**************************************


Sach Kaha Tha Too Ne Zaahid Zahr-E-Qaatil Hai Sharaab
Ham Bhi Kahte The Yahi Jab Tak Bahaar Aai Na Thi

[Jaleel Manikpuri]

**************************************


Gar Yaar Mai Pilaaye To Phir Kyon Na Peejiye
Zaahid Nahin Mian Shaikh Nahin Kuchh Vali Nahin
[Insha]

**************************************


Bachen Ge Hazrat-E-Zaahid Kahin Baghair Piye
Hamaare Haath Lage Hain Janaab Barason Men

[Unknown]

**************************************


Zaahid Ne Mera Haasil-E-Imaan Nahin Dekha
Rukh Par Teri Zulfon Ko Parishaan Nahin Dekha

[Asghar Gondvi]

**************************************


Botal Khuli Ko Hazrat-E-Zaahid Ke Vaaste
Maare Khushi Ke Kaag Bhi Do Gaz Uchhal Gayaa

[Qasr Dehlvi]

**************************************


Baithataa Hai Hameshaa Rindon Men
Kahin Zaahid Vali Na Ho Jaaye

[Bekhud Dehlvi]

**************************************


Pee Bhi Le Do Ghoont Zaahid Pee Bhi Le
Maikade Se Kaun Pyaasaa Jaaye Ga

[Bekhud Dehlvi]

**************************************


Zaahidon Ko Kisi Ka Khauf Nahin
Sirf Kaali Ghataa Se Darte Hain

[Shakeel Badayuni]

**************************************


Zaahid Kuchh Aur Ho Na Ho Mai-Khaane Mein Magar
Kyaa Kam Ye Hai Ki Shikva-E-Dair-O-Haram Nahin

[Jigar Moradabadi]

**************************************


Hooron Ki Talab Aur Mai-O-Saghar Se Hai Nafrat
Zaahid Tere Irfaan Se Kuch Bhool Hui Hai

[Hafeez Jalandhri]

*****************************


Bhaari Bahut Hai Laaoon Ga Roz-E-Jaza Main Rind
Rakhwa Ke Sar Pe Shaikh Ke Gathri Gunaah Ki

[Ameer Minai]

*****************************


Ghaat Mein Mustahib Ko Rahne Do
Mast Bhi Hoshiaar Rahte Hain

[Ameer Minai]

*****************************


Qatl Moozi Ka To Shar’an Hai Durust
Naaseh Ab Tak Kyon Salaamat Rah Gaya

[Ameer Minai]

*****************************


Hamari Raaye Mein Behtar Hai Mai-Kashi Ko Sabaah
Ab Aage Qaazi-O-Mufti-O-Mustahib Ki Salaah

[Ameer Minai]

*****************************


Shaikh Ji Mar Gaye Hain Unn Ke Mureed
Habs-E-Dam Ka Gumaan Karte Hain

[Ameer Minai]

*****************************


Tujhe Kya Ham Jo Wasf-E-Saqi-E-Gulfam Karte Hain
Too Apna Kaam Kar Vaaiz Ham Apna Kaam Karte Hain

[Ameer Minai]

*****************************


Na Vaaiz Hajw-E-Mai Kar Ek Din Duniya Se Jaana Hai
Are Munh Saaqi-E-Kausar Ko Bhi Aakhir Dikhana Hai

[Ameer Minai]

*****************************


Masjid Mein Bulaata Hai Hamein Zaahid-E-Naa-Fahm
Hota Kuchh Agar Hosh To Mai-Khane Na Jaate

[Ameer Minai]

*****************************


Majlis-E-Wa’az Mein Aana To Na Mumkin Tha ‘Ameer’
Ham Ko Thaame Huwe Yaan Dast-E-Esuboo Laayaa Hai

[Ameer Minai]

*****************************


Samjha Na Main To Hazrat-E-Naseh Ki Ek Baat
Kuch Khud Hi Woh Kaha Kiye Khud Hi Suna Kiye

[Ameer Minai]

*****************************


Koi Dam Be-Takalluf Ho Ke Maston Mein Agar Baithe
To Jo Kuchh Arsh Par Hai Dekh Le Zahid Wo Ghar Baithe

[Ameer Minai]

*****************************


Vaayez Ko Tum To Dekhte Hi Hans Pade ‘Ameer’
Baatein To Inn Buzurg Ki Tum Ne Suni Nahin

[Ameer Minai]

*****************************


Rindo Jo Milo Hazrat-E-Qazi Se To Dab Ke
Samjho Ki Buzurgon Mein Hain Yeh Bint-E-Anb Ke

[Ameer Minai]

*****************************


Hajw-E-Mai Ho Chuki Membar Se Ab Utrein Neeche
Rind Kuchh Hazrat-E-Vaayez Se Hain Kahne Waale

[Ameer Minai]

*****************************


Hazrat-E-Naaseh Yahan Aaye They Aaj
Der Tak Kuchh Baithe Jhak Maara Kiye

[Ameer Minai]

*****************************


Hai Dukhtar-E-Raz Halaal Tujhe Kya Tameez Hai
Vaayez Yeh Zar-Khareed Hamari Kaneez Hai

[Ameer Minai]

*****************************


Zahid Umeed-E-Rahmat-E-Haq Aur Hajw-E-Mai
Pahle Sharab Pee Ke Gunah-Gaar Bhi To Ho

[Ameer Minai]

*****************************


Zahid Wa Wa’az Ki Majlis Se Kise Hai Inkaar
Tum Chalo Pee Ke Main Aaya Abhi Maikhaane Se

[Ameer Minai]

*****************************


Taqwa Kahan Ka Jaam Chale Aaj Zaahido
Kharqe Utaar Utaar Ke Bhathhi Mein Jhonk Do

[Ameer Minai]

*****************************


Bhaari Bahut Hai Laaoon Ga Roz-E-Jaza Main Rind
Rakhwa Ke Sar Pe Shaikh Ke Gathri Gunaah Ki

[Ameer Minai]

*****************************


Bazm-E-Waaiz Be-Sharaan Achchhe Nahin
Aise Jalase Be-Sharaab Achchhe Nahin

[Daagh]

*****************************


Tauba Kar Lein Ham May-O-Maashooq Se
Be-Mazaa Hain Ye Sawaab Achchhe Nahin

[Daagh]

*****************************


Dekha Hai But-Kade Main Jo Ai Shekh Kuch Na Kuch
Eimaan Ki To Ye Hai Ki Eimaan To Gaya

[Daagh]

*****************************


Hai Khabar Garm Ke Phirta Hai Gurezaan Naaseh
Guftagu Aaj Sar-E-Ku-E-Butaan Thahri Hai

[Faiz]

*****************************


Ik Din Jo Sar-E-Rah Mile Hazrat-E-Zahid
Phir Chid Gaie Baaton Mein Wohi Baat Puraani

Farmaaya, Shikaayat Woh Mohabbat Ke Sabbab Thi
Thaa Farz Meraa, Raah Shariya't Ki Dikhaani

[Allama Iqbal]

*****************************


Zahid Ko Ta’jjub Hai,Soofi Ko Tahaiyur Hai,
Sad Shak-E-Tariqat Hai,Ik Laghzish-E-Mastana,

[Asghar Gondvi]

*****************************


Dikhaoon Ga Tujhe Zahid Us Aafat-E-Jaan Ko
Khala Dimagh Mein Tere Hai Paarsaai Ka

[Sauda]

*****************************


Zahid Sabhi Hain Nemat-E-Haq Jo Hai Aql-O-Sharb
Lekin Ajab Maza Hai Sharaab-O-Kabaab Ka

[Sauda]

*****************************

Gar Ho Sharaab-O-Khilwat-O-Mahboob-E-Khoobroo,
Zaahid Qasam Hai Tujh Ko Jo Tu Ho To Kya Kare.

[Sauda]

*****************************


Zauq, Jo Madarse Ke Bigde Hue Hain Mullah,
Un Ko Maikhane Mein Le Aao, Sanwar Jaayen Ge

[Zauq]

*****************************

Post a Comment

1 Comments

–>