Zindagi Shayari

zindagi shayari

Ujaale Apni Yaadon Ke Hamaare Saath Rahne Do
Na Jaane Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaaye

[Bashir Badr]

*********************************

Zindagi Yun Hui Basar Tanha
Qaafila Saath Aur Safar Tanha

[Gulzar]

*********************************

Yahi Hai Zindagi Kuchh Khvaab Chand Ummeeden
Inhin Khayaalon Se Tum Bhi Bahal Sako To Chalo

[Nida Fazli]

*********************************

Vahi Hai Zindagi Lekin ‘Jigar’ Ye Haal Hai Apna
Ke Jaise Zindagi Se Zindagi Kam Hoti Jaati Hai

[Jigar Moradabadi]

*********************************

Zindagi Nikli Musalsal Imtihaan Dar Imtehaan
Zindagi Ko Daastan Hi Daastaan Samjha Tha Main

[Jigar Moradabadi]

****************************

Zindagi Ek Haadisa Hai, Aur Aisa Haadisa,
Maut Se Bhi Khatm Jiska Silsila Hota Nahin.

[Jigar Moradabadi]

****************************

Bahut Haseen Sahi Sohbaten Gulon Ki Magar
Woh Zindagi Hai Jo Kaanton Ke Darmiyaan Guzre.

[Jigar Moradabadi]

****************************

Yun Zindagi Guzaar Raha Hoon Terey Baghair
Jaise Koi Gunaah Kiye Jaa Raha Hoon Main

[Jigar Moradabadi]

*********************************

Zindagi Tu Ne Mujhe Qabr Se Kum Dee Hai Zameen,
Paaon Phailaaun Toh Deewaar Mein Sar Lagta Hai.

[Bashir Badr]

****************************

Meri Zindagi Bhi Meri Nahin Ye Hazaar Khaanon Mein Bat Gai
Mujhe Ek Mutthi Zamin De Ye Zamin Kitni Simat Gayi

[Bashir Badr]

*********************************

Tum Muhabbat Ko Khel Kahte Ho
Ham Ne Barbaad Zindagi Kar Li

[Bashir Badr]

*********************************

Kabhi Dhoop De Kabhi Badliyaan Dil-O-Jaan Se Donon Qubool Hain
Magar Us Mahal Mein Na Qaid Kar Jahaan Zindagi Ki Hava Na Ho

[Bashir Badr]

*********************************

Tahi Zindagi Se Nahin Ye Fizaayen
Yahaan Saikadon Kaaravaan Aur Bhi Hain

[Allama Iqbal]

*******************************

Amal Se Zindagi Banti Hai Jannat Bhi Jahannum Bhi
Ye Khaaki Apni Fitrat Mein Na Noori Hai Na Naari Hai

[Allama Iqbal]

*********************************

Zindagi Insaan Ki Hai Maanind-E.Murgh-E-Khush-Nawa,
Shaakh Par Baitha Koi Dam, Chahchahaaya, Ud Gaya.

[Allama Iqbal]

****************************

Zindagi Ki Aag Ka Anjaam Khaakstar Nahin,
Tootna Jis Ka Muqaddar Ho, Yeh Woh Gauhar Nahin.

[Allama Iqbal]

****************************

Tu Ise Paimaana-E-Imrooz-O-Farda Se Na Naap,
Jaawedaan, Paiham Rawaan, Har Dam Jawaan Hai Zindagi.

[Allama Iqbal]

****************************

Zindagi Aamad Baraa-E-Bandagi
Zindgi Be-Bandagi, Sharmindagi

[Allama Iqbal]

****************************

Bartar Andesha, Sod-O-Zayan Hai Zindagi
Hai Kabhi Jaan Aur Kabi Tasleem-E-Jaan Hai Zindagi

[Allama Iqbal]

****************************

Hasti Apni Habaab Ki Si Hai,
Yeh Numaaish Suraab Ki Si Hai.

[Meer Taqi Meer]

****************************

Maujen Kare Hai Ab To Bahr-E-Jahaan Mein Tu,
Jaane Ga Ba’d-E-Marg Ke Aalam Habaab Tha.

[Meer Taqi Meer]

****************************

Hasti Par Ek Dam Ki Tumhen Josh Is Qadar,
Is Bahr-E-Mauj-Khez Mein Tum To Habaab Ho.

[Meer Taqi Meer]

****************************

Zindagi Maut Ban Gai Hoti Jaan Se Ham Guzar Gaye Hote
Itne Ishrat-Zada Hain Ham Ke Agar Gham Na Hota To Mar Gaye Hote

[Kunwar Mahinder Singh Bedi]

*********************************

Zindagi Jabr-E-Musalsal Ki Tarah Kati Hai
Jaane Kis Zulm Ki Paai Hai Sazaa Yaad Nahin

[Sagar Siddiqui]

*********************************

Zindagi Jeene Ko Di, Jee Main Ne
Qismat Mein Likha Tha Pee To Pee Main Ne

Main Na Peeta To Tera Likha Galat Ho Jaata
Tere Likhe Ko Nibhaayaa Kya Khata Ki Main Ne

[Saeed Rahi]

*********************************

Zindagi Jab Bhi Teri Bazm Mein Laati Hai Hamen
Ye Zameen Chaand Se Behtar Nazar Aati Hai Hamen

[Shahryar]

*********************************

Zindagi Yun Bhi Guzar Hi Jaati
Kyon Tera Raah-Guzar Yaad Aayaa

[Mirza Galib]

*********************************

Vo Aaye Hain Pashemaan Laash Par Ab
Tujhe Ai Zindagi Laaoon Kahaan Se

[Momin Khan Momin]

*********************************

Rahe Ga Saath Tera Pyaar Zindagi Ban Kar
Ye Aur Baat Meri Zindagi Vafa Na Kare

[Qateel Shifai]

*********************************

Zindagi Mein Bhi Chaloon Ga Tere Peechhe Peechhe
Tu Mere Dost Ka Naqsh-E-Kaf-E-Paa Ho Jaanaa

[Qateel Shifai]

*********************************

Jeet Le Jaaye Koi Mujh Ko Naseebon Vaalaa
Zindagi Ne Mujhe Daanv Pe Laga Rakha Hai

[Qateel Shifai]

*********************************

Dil Ko Gham-E-Hayaat Gavaaraa Hai In Dinon
Pahle Jo Dard Thaa Wahi Chaaraa Hai In Dinon

[Qateel Shifai]

*********************************

Lamhaat-E-Yaad-E-Yaar Ko Sarf-E-Duaa Na Kar
Aate Hain Zindagi Mein Ye Aalam Kabhi Kabhi

[Shakeel Badayuni]

*********************************

Un Ki Yaad, Un Ki Tamannaa, Un Ka Gham
Kat Rahi Hai Zindagi Aaraam Se

[Shakeel Badayuni]

*********************************

Vahi Qaafile Vahi Raaste Vahi Zindagi Vahi Marhale
Magar Apne Apne Muqaam Par Kabhi Tum Nahin Kabhi Ham Nahin

[Shakeel Badayuni]

*********************************

Gesuon Ke Saaye Mein Aaraam-Kash
Sar-Barahna Zindagi Thi Main Na Tha

[Abdul Hameed Adam]

*********************************

Zindagi Phaili Hui Thi Shaam-E-Hijraan Ki Tarah
Kis Ko Itna Hausala Tha Kaun Jee Kar Dekhta

[Ahmed Faraz]

********************************

Zindagi Teri Ataa Thi So Tere Naam Ki Hai
Ham Ne Jaise Bhi Basar Ki Tera Ehsaan Jaanaan

[Ahmed Faraz]

*********************************

Kam Se Kam Maut Se Aisi Mujhe Ummeed Nahin
Zindagi Tu Ne To Dhoke Pe Diya Hai Dhoka

[Firaq Gorakhpuri]

*********************************

Maut Ka Bhi Ilaaj Ho Shaayad
Zindagi Ka Koi Ilaaj Nahin

[Firaq Gorakhpuri]

*********************************

Yeh Maana Zindagi Hai Chaar Din Ki
Bahut Hote Hain Yaaron Chaar Din Bhi

[Firaq Gorakhpuri]

****************************

Ummed-E-Marg Kab Tak, Zindagi Ka Dard-E-Sar Kab Tak
Ye Mana Sabr Karte Hain Mohabbat Mein Magar Kab Tak

[Firaq Gorakhpuri]

****************************

Is Daur Mein Zindagi Bashar Ki,
Beemaar Ki Raat Ho Gai Hai.

[Firaq Gorakhpuri]

****************************

Zindagi Kya Hai, Isko Aaj Ai Dost,
Soch Lein Aur Udaas Ho Jaayen.

[Firaq Gorakhpuri]

****************************

Hasti Ba-Juz Fana-E-Musalsal Ke Kuchh Nahin,
Phir Kis Liye Yeh Fikr-E-Qaraar-O-Sabaat Hai.

[Firaq Gorakhpuri]

****************************

Shaamen Kisi Ko Maangti Hain Aaj Bhi ‘Firaq’
Go Zindagi Mein Yun Mujhe Koi Kami Nahin

[Firaq Gorakhpuri]

*********************************

Ai Dost Yun To Ham Teri Hasrat Ko Kya Kahen
Lekin Ye Zindagi Koi Zindagi Nahin

[Firaq Gorakhpuri]

*********************************

Abhi Na Chherh Muhabbat Ke Geet Ai Mutrib
Abhi Hayaat Ka Maahaul Khush-Gavaar Nahin

[Sahir Ludhianvi]

*********************************

Gar Zindagi Mein Mil Gaye Phir Ittefaaq Se
Poochhen Ge Apna Haal Teri Be-Basi Se Ham

[Sahir Ludhianvi]

*********************************

Iss Tarah Zindagi Ne Diya Hai Hamara Sath
Jaisey Koi Nibaah Rahaa Ho Raqeeb Sey

[Sahir Ludhianvi]

*********************************

Ham Gham-Zada Hain Laaye Kahaan Se Khushi Ke Geet
Dengey Vahi Jo Paayenge Iss Zindagi Se Ham

[Sahir Ludhianvi]

*********************************

Tang Aa Chuke Hain Kashmakash-E-Zindagi Se Hum,
Thukra Na Dein Jahaan Ko Kahin Be-Dili Se Hum.

[Sahir Ludhianvi]

****************************

Is Zindagi Se Ham Ko Na Duniya Mili Na Deen
Taqadeer Ka Mushaahida Karte Guzar Gayi

[Trilok Chand Mehroom]

*********************************

Har Nafas Umar-E-Guzishta Ki Hai Mayyiat, Fani,
Zindagi Naam Hai, Mar-Mar Ke Jiye Jaane Ka.

[Fani Badayuni]

****************************

Ik Mua’mma Hai Samajhne Ka, Na Samjhaane Ka,
Zindagi Kaahe Ko Hai, Khwaab Hai Deewaane Ka.

[Fani Badayuni]

****************************

Mar Ke Toota Hai Kabhi Silsala-E-Qaid-E-Hayaat,
Magar Itna Hai Ke Zanjeer Badal Jaati Hai.

[Fani Badayuni]

****************************

Aish Se Kyon Khush Huye, Kyon Gham Se Ghabraaya Kiye
Zindagi Kya Jaane Kya Thi Aur Kya Samjha Kiye

[Moin Ahsan Jazbi]

*********************************

Zindagi Tujh Se Ummeed-E-Vafa Kya Rakkhoon
Jab Mujhe Chhod Gaye Dost Puraane Mere

[Muzaffar Warsi]

*********************************

Zindagi Ki Baat Sun Kar Kya Kahen
Ek Tamannaa Thi Taqaazaa Ban Gayi

[Himayat Ali Shayar]

*********************************

Aaj Ai Dil Lab-O-Rukhsaar Ki Baaten Hi Sahi
Vaqt Kat Jaaye Ga Kuch Pyaar Ki Baaten Hi Sahi

Yun To Katati Hi Rahe Gi Gham-E-Dauraan Mein Hayaat
Aaj Ki Raat Gham-E-Yaar Ki Baaten Hi Sahi

[Himayat Ali Shayar]

*********************************

Zindagi Ek Daud Hai To Saans Phoole Gi Zaroor
Yaa Badal Mafhoom Us Ka Yaa Phir Fariyaad Na Kar

[Sharif Kanjahi]

*********************************

Hamen To Shaam-E-Gham Mein Kaatni Hai Zindagi Apni
Jahaan Vo Hain, Vahin Ai Chaand, Le Jaa Roshani Apni

[Unknown]

*********************************

Saans Lene Ko Hi Jeenaa Nahin Kahte Hain
Zindagi Thi Jo Tere Vasl Ka Imkaan Hota

[Yusuf Zafar]

*********************************

Tamaam Umr Tera Intazaar Kar Lenge
Magar Ye Ranj Rahe Ga Ki Zindagi Kam Hai

[Shahid Siddiqi]

*********************************

Vaada Kar Ke Aur Bhi Aafat Mein Daalaa Aap Ne
Zindagi Mushkil Thi, Ab Marna Bhi Mushkil Ho Gaya

[Jaleel Manikpuri]

*********************************

Vo Naam Jis Ke Liye Zindagi Ganvaai Gai
Na Jaane Kya Tha, Magar Kuchh Bhala Bhala Sa Tha

[Mazhar Imam]

*********************************

Zindagi Kis Tarah Kategi Saif
Raat Katati Nazar Nahin Aati

[Saifuddin Saif]

*********************************

Zinda Hoon Is Tarah Ki Gham-E-Zindagi Nahin
Jalataa Hua Diya Hoon Magar Raushni Nahin

[Behzad Lakhanavi]

*********************************

Ye Jo Zindagi Ki Kitaab Hai Ye Kitaab Bhi Kya Kitaab Hai
Kahin Ik Haseen Sa Khvaab Hai Kahin Jaan Leva Azaab Hai

[Rajesh Reddy]

*********************************

Zindagi Tu Ne Lahoo Leke Diya Kuchh Bhi Nahin
Tere Daaman Mein Kya Mere Liye Kuchh Bhi Nahin

[Rajesh Reddy]

*********************************

Zindagi Ki Bisaat Par Aksar
Jeeti Baazi Bhi Ham Ne Haari Hai

[Tabish Dehlvi]

*********************************

Ham Bhi Kya Zindagi Guzaar Gaye
Dil Ki Baazi Lagaa Ke Haar Gaye

[Daagh Dehlvi]

*********************************

Zeest Sey Tang Ho Ai ‘Daagh’ To Kyon Jeetey Ho
Jaan Pyaari Bhi Nahin Jaan Sey Jaatey Bhi Nahin

[Daagh Dehlvi]

*********************************

Zindagi Kat Gai Manaate Huye
Ab Iraada Hai Rooth Jaane Ka

[Farhat Shehzad]

*********************************

Paighaam Zindagi Ne Diya Maut Ka Mujhe
Marne Ke Intazaar Mein Jeena Pada Mujhe

[Safi Lucknawi]

*********************************

Museebat Aur Lambi Zindegaani
Buzurgon Ki Duaa Ne Maar Daalaa

[Muztar Khairabadi]

*********************************

Zindagi Naa-Tamaam Hai Shayad
Maut Waqfe Ka Naam Hai Shayad

[Abdul Hameed Adam]

********************************

Veeraan Dil Hai Aur ‘Adam’ Zindagi Ka Raqs
Jangal Mein Ghar Banaa Ke Bahut Khush Hai Zindagi

[Abdul Hameed Adam]

*********************************

Allah Jaane Maut Kahaan Mar Gai ‘Khumaar’
Ab Mujh Ko Zindagi Ki Zaroorat Nahin Rahi

[Khumar Barabankvi]

*********************************

Bujh Gayaa Dil Hayaat Baaqi Hai
Chhup Gayaa Chaand Raat Baaqi Hai

Ishq Mein Ham Nibhaa Chuke Sab Se Ai ‘Khumar’
Bas Ek Zaalim Hayaat Baaqi Hai

[Khumar Barabankvi]

*********************************


Gham-E-Hayaat Ka Jhagraa Mitaa Rahaa Hai Koi
Chale Bhi Aao Ke Duniyaa Se Jaa Rahaa Hai Koi

[Sardar Anjum]

****************************

Maut Jisko Suljhaaye, Zindagi Phir Uljhaa Dey
Janm-Janm Ka Pheraa Mas'alaa Hai Khwaabon Ka

[Krishn Bihari Noor]

****************************

Gham-E-Hayaat Se Be-Shak Hai Khud-Kushi Aasaan
Magar Jo Maut Bhi Sharma Gai To Kya Hogaa

[Ehsaan Daanish]

****************************

Ye Moti Hain Ki Aansoo, Faislaa Karne Se Darta Hoon
Chamak Par Jab Hayaat-E-Aarizi Ki Ghaur Karta Hoon

[Josh Malihabadi]

****************************

Haadson Ki Bheed Hai Chaltaa Hua Ye Kaaravaan
Zindagi Ka Naam Hai Laa-Chaariyaan Majbooriyaan

[Sardar Anjum]

****************************

Ab To Har Saans Ki Aamad Pe Gumaan Hota Hai
Zindagi Ek Fasurda Saa Diyaa Ho Jaisey

[Krishan Adeeb]

****************************

Zindagi Kya Hai Aur Maut Kya
Shab Hui Aur Sahar Ho Gayi

[Ganesh Bihari Tarz]

****************************

Zindagi Jaise Guzaar Aaye Hon, Aalam Ye Hai
Yoon To Din Ham Ne Terey Saath Guzaare Kam Hain

[Makhmoor Saeedi]

****************************

Daaman-E-Shauq Mein Masle Hue Phoolon Ki Tarah
Zindagi Hai Kisi Muflis Ke Usoolon Ki Tarah

[Kafeel Aazar]

****************************

Jahaan-E-Nau Ka Tasavvur, Hayaat-E-Nau Ka Khayaal
Bade Fareb Diye Tum Ne Bandagi Ke Liye

[Zehra Nigaah]

****************************

Itnaa To Zindagi Ka Koi Haq Adaa Kare
Deevaana-Vaar Haal Pe Apne Hansa Kare

[Yaas Yagaana]

****************************

Ham To Saari Umr Ashkon Ke Sahaare Jee Liye
Zindagi To Be-Wafaa Thi Ik Tabassum Tak Rahi

[Shamim Jaipuri]

****************************

Tera Hijr Mera Naseeb Hai Tera Gham Hi Meri Hayaat Hai
Mujhe Teri Doori Ka Gham Ho Kyon Too Kahin Bhi Ho Merey Saath Hai

[Nida Fazli]

****************************

Ai Zindagi ! Khudaa Ke Liye Ab Mu’aaf Kar
Baithi Hui Hai Maut Merey Intizaar Mein

[Munavvar Lakhnavi]

****************************

Tu Yeh Mat Kah Main Tujhe Kahta Tha Apni Zindagi,
In Dinon Jeene Se Bhi Jee Mera Bezaar Hai.

[Mirza Ghalib]

****************************

Jaan Di, Di Hui Usi Ki Thi,
Haq To Yeh Hai, Ke Haq Ada Na Hua.

[Mirza Ghalib]

****************************

Safar Zaroor Hai, Aur Uzr Ki Majaal Nahin,
Maza To Yeh Hai Na Manzil, Na Raasta Maaloom.

[Shaad Azeemabadi]

****************************

Suni Hikaait-E-Hasti To Darmiyaan Se Suni,
Na Ibteda Ki Khabar Hai, Na Inteha Maaloom.

[Shaad Azeemabadi]

****************************

Duniya Ki Fikr, Maut Ka Dar, Aabroo Ka Dhayaan,
Do Din Ki Zindagi Merey Haq Mein Balaa Hui.

[Shad Azeemabadi]

****************************

Zindagi Hai Ya Koi Toofaan Hai,
Hum To Is Jeene Ke Haathon Mar Rahe.

[Meer Dard]

****************************

Fikr-E-Ma’ash, Ishq-E-Butaan, Yaad-E-Raftgaan,
Do Din Ki Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare!

[Sauda]

****************************

Jab Nazar Uski Aan Parti Hai,
Zindagi Tab Dhyaan Parti Hai

[Sauda]

****************************

Zindagi Kya Kisi Muflis Ki Qaba Hai Jis Mein,
Har Ghari Dard Ke Paiwand Lage Jaate Hain.

[Faiz Ahmad Faiz]

****************************

Umr-E-Daraaz Maang Ke Laaye The Chaar Din,
Do Aarzoo Mein Kat Gaye, Do Intezaar Mein.

[Bahadur Shah Zafar]

****************************

Qatra Qatra Zindagi Ke Zahar Ka Peenaa Hai Gham
Aur Khushi Hai Do Ghadi Pee Kar Bahak Jaane Ka Naam

[Anand Narain Mullah]

*********************************

Vo Kaun Hain Jinhen Tauba Ki Mil Gai Fursat
Hamen Gunaah Karne Ko Bhi Zindagi Kam Hai

[Anand Narain Mullah]

*********************************

Zindagi Be-Shak Tera Inaam Hai, Yaa-Rab, Magar,
Sun Sake To Kuchh Tere Inaam Ki Baaten Karen.

[Hari Chand Akhtar]

****************************

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahin Milta,
Kahin Zameen To Kahin Aasmaan Nahin Milta,

Jise Bhi Dekhiye Woh Apne Aap Mein Gum Hai,
Zabaan Mili Hai Magar Ham Zabaan Nahi Milta.

[Shahryar]

****************************

Kuch To Hai Baat Jo Aati Hai Qaza Ruk Ruk Ke
Zindagi Qarz Hai Qiston Mein Ada Hoti Hai

[Qamar Jalalabadi ]

****************************

Minnatein Hain Khayaal Ki Tere
Khoob Guzri Tere Khyaal Ke Sath

Main Ne Ek Zindagi Basar Kar Di
Tere Naa-Deeda Khatt-O-Khaal Ke Saath

[Jaun Elia]

****************************

Tabaahi Ka Apni Nishaan Chhor Aaye
Warq-Dar-Warq Daastaan Chhor Aaye

Har Ek Ajnabi Se Pata Poochhte Hain
Tujhe Zindgi Hum Kahaan Chhor Aaye

[Kaif Azeemabadi]

****************************

Urta Hai Shauq-E-Raahat-E-Manzil Se Asp-E-Umr,
Mahmeez Kis Ko Kahte Hain Aur Taaziyaana Kya.

[Aatish]

****************************

Justujoo Hai Zindagi, Zauq-E-Talab Hai Zindagi,
Zindagi Ka Raaz Lekin Doori-E-Manzil Main Hai.

[Asghar Gondvi]

****************************

Zindagi Zinda-Dili Ka Naam Hai
Murda Dil Kya Khaak Jiya Karte Hain

[Nasikh]

*********************************

Mutthiyon Mein Khaak Lekar Dost Aaye Vaqt-E-Kafan
Zindagi Bhar Ki Muhabbat Ka Sila Dene Lage

[Aziz Lucknawi]

*********************************

Mere Khuda Mujh Ko Thodi Si Zindagi Dede
Udaas Mere Janaaze Se Jaa Raha Hai Koi

[Qamar Jalalabadi]

*********************************

Zindagi Jab Azaab Hoti Hai
Aashiqi Kaam-Yaab Hoti Hai

[Unknown]

*********************************

Zindagi Shama Ki Maanind Jalaataa Hoon’nadeem’
Bujh To Jaaoon Ga Magar Subah To Kar Jaaoon Ga

[Ahmad Nadeem Qasmi]

*********************************

Woh Ek Baar Marey Jin Ko Tha Hayaat Se Pyaar
Jo Zindagi Se Gurezaan They Roz Martey They

[Ahmad Nadeem Qasmi]

********************************

Zindagi Hai Apne Qabze Mein Na Apne Bas Mein Maut
Aadami Majaboor Hai Aur Kis Qadar Majaboor Hai

[Ahmad Amethwi]

*********************************

Zindagi Kya Hai Anaasir Mein Zahoor-E-Tarteeb
Maut Kya Hai Unhin Ajza Ka Pareshaan Hona

[Brij Narain Chakbast]

*********************************

Zindagi Tujh Se Har Ek Saans Pe Samajhauta Karoon
Shauq Jeene Ka Hai Mujh Ko Magar Itna To Nahin

[Muzaffar Warsi]

*********************************

Zindagi Jis Ne Talkh Ki Meri
Vo Mujhe Zindagi Se Pyaara Hai

[Suhail Akhtar]

*********************************

Zindagi Ke Udaas Lamhon Mein
Be-Vafaa Dost Yaad Aate Hain

[Unknown]

*********************************

Zindagi Ko Bhi Tere Dar Se Bhikhaari Ki Tarah
Ek Pal Ke Liye Rukna Hai Guzar Jaana Hai

[Ahmed Faraz]

*********************************

Zindagi Zinda-Dili Kaa Naam Hai
Murda- Dil Kya Khaak Jiaa Karte Hain

*********************************

Mukhtasar Yeh Hai Hamaari Daastaan-E-Zindagi,
Ik Sakoon-E-Dil Ki Khaatir Umr Bhar Tadpa Kiye.

[Unknown]

****************************

Zindagi Sirf Tere Naam Se Mansoob Rahe,
Jaane Kitne Hi Dimaghon Ne Ye Socha Hoga.

[Abbas Daana]

****************************

Jeete Rahne Ki Saza De Zindagi Ai Zindagi,
Ab To Marne Ki Dua De Zindagi Ai Zindagi ,

Main To Ab Ukta Gaya Hun Kya Yahi Hai Qayamat,
Bas Yeh Aaina Hata De Zindagi Ai Zindagi .

[Zaka Siddiqui]

****************************

Kaash Ussi Din Meri Zindagi Ki Shaam Ho Jaye
Jiss Din Tera Wujood Kisi Aur Ke Naam Ho Jaye

[Waqas Meer]

****************************

Post a Comment

1 Comments

  1. Zindagi Ke Barh Gai Nikh Etna
    Maut ka Sauda Sasta Laga
    What is correct one?

    ReplyDelete

–>