Mirza Ghalib - Qasidah


Mirza Ghalib - Qasidah


Salam Usey Ke Agar Baadshah Kahein Us Ko
To Phir Kahein Ke Kuch Iss Se Sewa Kahein Us Ko

Na Baadshah, Na Sultan, Yeh Kya Sataaesh Hai
Kaho Ke Khamis-E-Aal-E-Aba Kahein Us Ko

Maseeh Jis Se Kare Akhz-E-Faiz-E-Jaan Bakhshi
Sitam Hai Kushta-E-Teigh-E-Jafa Kahein Us Ko

Hamare Dard Ki Yaa Rab Kahin Dawa Na Mile
Agar Na Dard Ki Apne Dawa Kahein Us Ko

Hamara Munh Hai Ke Dein Us Ke Husn-E-Sabr Ki Daad
Magar Nabi Wa Ali Marhaba Kahein Us Ko

Imam-E-Waqt Ki Yeh Qadr Hai Ke Ahl-E-Enaad
Piyaada Le Chalein, Aur Na Saza Kahein Usko

Yeh Ijtehad Ajab Hai, Ke Eik Dushman-E-Deen
Ali Se Aa Ke Ladey, Aur Khata Kahein Us Ko

Yazeed Ko To Na Tha, Ijtehad Ka Paaya
Bura Na Maaniye, Gar Hum Bura Kahein Us Ko

Ali Ke Baad Hasan, Aur Hasan Ke Baad Hussain
Karey Jo In Se Buraai, Bhala Kahein Us Ko

Nabi Ka Ho Na Jisey Eiteqaad, Kafir Hai
Rakhey Imam Se Jo Bughz, Kya Kahein Us Ko

Bhara Hai ‘Ghalib’-E-Dil-Khasta Ke Kalam Mein Dard
Ghalat Nahin Hai Ke, Khooneen Nawa Kahein Us Ko


 --------------------------------

Post a Comment

1 Comments

–>