Khwaab Shayari

Khwab Shayari


Shab Ko Kisi Ke Khwab Mein Aaya Na Ho Kahin,
Dukhte Hain Aaj Us But-E-Nazuk-Badan Ke Paaon.

[Mirza Ghalib]

----------------------------------------------

Toh Phir Na Intezaar Mein Neend Aaye Umr Bhar,
Aane Ka Ahd Kar Gaye, Aaye Jo Khwaab Mein.

[Mirza Ghalib]

----------------------------------------------

Ishq Mein Ji Ko Sabr-O-Taab Kahaan,
Us Se Aankhein Larin, To Khwaab Kahaan

[Mir Taqi Mir]

----------------------------------------------

Tuk Dekh Aankhen Khol Ke Us Dam Ki Hasraten,
Jis Dum Yeh Soojhe Gi Ke Yeh Aalam Bhi Khwaab Tha.

[Mir Taqi Mir]

----------------------------------------------

Chhora Na Raaz Koi Jahaan-E-Kharab Ka,
Sab Kah Gaya Main Khwab Mein Afsana Khwab Ka.

[Jigar Moradabadi]

----------------------------------------------

Mujhe Dhoka Na Deti Hon Kahin Tarsi Hui Aankhen,
Tumhin Ho Saamne Ya Phir Wohi Tasweer-E-Khwab Hai.

[Anand Narain Mulla]

----------------------------------------------

Aankhen Khuli To Jaag Uthin Hasraten Tamaam,
Us Ko Bhi Kho Diya Jise Paaya Tha Khwaab Mein.

[Siraj Aurangabadi]

----------------------------------------------

Tha Khwaab Mein Khayal Ko Tujh Se Mua’amla,
Jab Aankh Khul Gai, Na Zayaan Tha, Na Sood Tha.

[Mirza Ghalib]

----------------------------------------------

Raat Kya Soye Ki Saari Umr Ki Neend Urh Gayee,
Khwaab Kyon Dekha Ke Dhadka Lag Gaya Ta’beer Ka.

[Ahmad Faraz]

----------------------------------------------

Iltefaat-E-Yaar Tha Ik Khwaab-E-Aaghaaz-E-Wafa,
Sach Hua Karti Hain In Khwaabon Ki Ta’biren Kahin

[Hasrat Mohani]

----------------------------------------------

Ik Naa-Tamaam Khwaab Mukammal Na Ho Saka,
Aane Ko Zindagi Mein Bahut Inqilaab Aaye.

[Andaleeb Shadani]

----------------------------------------------

Khwaab Men Hi Nazar Aata Woh Shab-E-Hijr Kahin
So Mujhe Hasrat-E-Deedar Ne Sone Na Diya

[Nasikh]

----------------------------------------------

Raat Bhar Bunta Raha Khwaabon Ko Main Jiske Liye
Rah Gayi Khaamosh Woh Raaton Ki Raani Saamne

[Kalim Akhtar]

----------------------------------------------

Is Se Aage Mere Iflaas Ki Roodaad Na Poochh
Dil Yuhin Taat Pe Be-Khwaab Pada Rehta Hai

[Kalim Akhtar]

----------------------------------------------

Khwaabon Mein Raat Aaya Tha Kis Dasht Se Ghazaal
Aankhen Badi Haseen Theen, Chehra Bada Buland

[Kalim Akhtar]

----------------------------------------------

Lamha Lamha Teri Yaaden Jo Chamak Uthti Hain
Aisa Lagta Hai Ke Urte Hue Pal Jalte Hain

Mere Khwaabon Mein Koi Laash Ubhar Aati Hai
Band Aankhon Mein Kai Taj Mahal Jalte Hain

[Jan Nisar Akhtar]

----------------------------------------------

Bah Raha Tha Ek Dariya Khwaab Mein
Rah Gaya Main Phir Bhi Tishna-Khwaab Mein

----------------------------------------------

Jee Raha Hun Aur Duniya Mein Magar
Dekhta Hun Aur Duniya Khwaab Mein

[Aalam Khurshid]

----------------------------------------------

Apne Khwaabon Mein Tujhe Jis Ne Bhi Dekha Hoga,
Aankh Khulte Hi Tujhe Dhoondhne Nikla Hoga.

[Abbas Daana]

----------------------------------------------

Kaun Deta Hai Dar-E-Khwaab Pe Dastak Shab Bhar
Kis Ka Chehra Meri Aankhon Mein Basaa Rehta Hai

[Kalim Akhtar]

----------------------------------------------

Khwaab Ko Din-Ki Shikaston Ka Madawa Na Samajh,
Neend-Per Takiya Na Kar, Shab-Ko Maseeha Na Samajh.

[Saaqi Faruqui]

-----------------------------------------------




Post a Comment

6 Comments

  1. https://shayari4world7.blogspot.com/
    do visit my site too...

    ReplyDelete
  2. This demonstrates it is difficult to touch base at the reality of each issue and to decide the right dreams as the aftereffect of one’s own exploration without khawabon ki tabeer online committing an error. We have never known any individual, nor knew about one or read of one in any book of history, who was free from a blunder in the entire field of his vision and reflection. It pursues, in this manner, that it is difficult to discover individuals who Online Khawab Ki Tabeer Urdu .

    Thanks for sharing this post.

    ReplyDelete
  3. Sprawdź numer polskiego konta bankowego na otworzyć konto w banku

    ReplyDelete
  4. Sprawdź czym jest regeneracja pompy hydraulicznej - naprawa silników hydraulicznych

    ReplyDelete
  5. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

–>