Firaq - Ras Mein Dooba Huaa Laharata Badan Kya Kahnaa

Ras Mein Dooba Huaa Laharata Badan Kya Kahnaa
Karawaten Leti Hui Subah-E-Chaman, Kyaa Kahnaa

Baagh-E-Jannat Mein Ghata Jaise Baras Ke Khul Jaaye
Sondhi-Sondhi Teri Khushboo-E-Badan Kyaa Kahnaa

Jaise Laharaaye Koi Shola, Kamar Ki Ye Lachak
Sar-Ba-Sar, Aatish-E-Sayyaal Badan Kya Kahnaa

Qaamat-E-Naaz, Lachakatee Hui’ Ek Qaus-E-Qazaa
Zulf-E-Shab, Rang Kaa Chhaya Hua Gahan Kya Kahnaa

Jis Tarah Jalwaa-E-Firdaus Hawaaon Se Chhine
Pairahan Mein Tere Rangeeni-E-Tan, Kya Kahnaa

Jalwa-O-Parda Ka Yeh Rang Dam-E-Nazzaaraa
Jis Tarah Adh-Khuli Ghunghat Men Dulhan Kya Kahnaa

Jagamagaahat E Jabeen Ki Hai, Ke Pau Phatati Hai
Muskurahat Hai Teri Subah-E-Chaman Kya Kahnaa
            
  -----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>