Ghalib - Arz-E-Niyaaz-E-Ishq Ke Qaabil Nahin Raha

 
Arz-E-Niyaaz-E-Ishq  Ke  Qaabil Nahin Raha
Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Nahin Raha

Jaata  Hoon   Daagh-E-Hasarat-E-Hasti  Liye  Hue
Hoon Shamma'a_Kushta Darkhur-E-Mehfil Nahin Raha

Marne Ki Ai Dil Aur Hi Tadabeer Kar Ki Main
Shaayaan-E-Dast-O-Baazu-E-Qaatil Nahin Rahaa

Bararoo-E-Shash Jihat Dar-E-Aaina_Baaz Hai
Yaan Imtiaz-E-Naakis-O-Qaamil Nahin Rahaa

Waa Kar Diye Hain Shauq Ne Band-E-Naqaab-E-Husn
Ghair-Az  Nigaah  Ab Koi  Haayal  Nahin  Raha

Go Main Raha, Rahi Na Sitam Haaye Rozgaar
Lekin  Tere Khayaal Se Ghaafil Nahin Raha

Dil Se Hawa-E-Kisht-E-Wafa Mit Gayi Ki Waan
Haasil Siwaay  Hasrat-E-Haasil  Nahin  Raha

Bedaad-E-Ishq  Se Nahin  Darta  Magar 'Asad'
Jis Dil Pe Naaz Tha Mujhe Wo Dil Nahin Raha

  --------------------

Post a Comment

0 Comments

–>