Ghair Len Mehfil Main Bose Jaam Ke
Ham Rahen Yun Tashnalab Paigaam Ke
Khastagi Ka Tum Se Kya Shikwa Ke Ye
Hathkande Hain Charkh-E-Nili Faam Ke
Khat Likhenge Garche Matlab Kuch Na Ho
Ham To Aashiq Hain Tumhaare Naam Ke
Raat Pee Zamzam Pe Mai Aur Subh-Dam
Dhoey Dhabbe Jaama-E-Ehraam Ke
Dil Ko Aankhon Ne Phansaaya Kya Magar
Ye Bhi Halqe Hain Tumhaare Daam Ke
Shaah Ke Hai Gusl-E-Sehat Ki Khabar
Dekhiye Din Kab Phiren Hammaam Ke
Ishq Ne ‘Galib’ Nikammaa Kar Diya
Warna Ham Bhi Admi The Kaam Ke
--------------------------
Ham Rahen Yun Tashnalab Paigaam Ke
Khastagi Ka Tum Se Kya Shikwa Ke Ye
Hathkande Hain Charkh-E-Nili Faam Ke
Khat Likhenge Garche Matlab Kuch Na Ho
Ham To Aashiq Hain Tumhaare Naam Ke
Raat Pee Zamzam Pe Mai Aur Subh-Dam
Dhoey Dhabbe Jaama-E-Ehraam Ke
Dil Ko Aankhon Ne Phansaaya Kya Magar
Ye Bhi Halqe Hain Tumhaare Daam Ke
Shaah Ke Hai Gusl-E-Sehat Ki Khabar
Dekhiye Din Kab Phiren Hammaam Ke
Ishq Ne ‘Galib’ Nikammaa Kar Diya
Warna Ham Bhi Admi The Kaam Ke
--------------------------
0 Comments