Ghalib - Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair

Ghar Jab Bana Liya Hai

Ghar Jab Bana Liya Hai Tere Dar Par Kahe Baghair
Jaanega Ab Bhi Tu Na Mera Gar Kahe Baghai

Kahte Hain, Jab Rahi Na Mujhe Taaqat-E-Sukhan
Jaanun Kisi Ke Dil Ki Main Kyunkar Kahe Baghair

Kaam Us Se Aa Pada Hai Ki Jiska Jahaan Main
Lewe Na Koi Naam Sitamgar Kahe Baghair

Jii Main Hi Kuch Nahin Hai Hamaare Wagarna Ham
Sar Jaaye Ya Rahe Na Rahen Par Kahe Bagair

Chhodunga Main Na Us But-E-Kaafir Ka Pujna
Chhode Na Khalq Go Mujhe Kaafir Kahe Baghair

Maqsad Hai Naaz-O-Gamza Wale Guftagu Main Kaam
Chalta Nahin Hai, Dashna-O-Khanjar Kahe Baghair

Har Chand Ho Mushahida-E-Haq Ki Guftagu
Banati Nahin Hai Baada-O-Saagar Kahe Baghair

Bahara Hoon Main To Chahiye Duna Ho Iltafaat
Sunta Nahin Hoon Baat Muqarrar Kahe Baghair

“Galib” Na Kar Huzur Main Tu Baar-Baar Arz
Zaahir Hai Tera Haal Sab Un Par Kahe Baghair

 --------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>