Ghalib - Hairaan Hoon Dil Ko Rouun Ki Piitoon Jigar Ko Main

 Hairaan Hoon Dil Ko Rouun

Hairaan Hoon Dil Ko Rouun Ki Piitoon Jigar Ko Main
Maqdoor Hoon To Saath Rakhoon Nauhaagar Ko Main

Chhodaa Na Rashk Ne Ki Tere Ghar Kaa Naam Loon
Har Ek Se Poochhata Hoon Ki Jaaoon Kidhar Ko Main

Jaana Padaa Raqiib Ke Dar Par Hazaar Baar
Ai Kaash Jaantaa Na Teri Rahguzar Ko Main

Hai Kyaa Jo Kas Ke Baandhiye Meri Balaa Dare
Kyaa Jaantaa Nahin Hoon Tumhaari Kamar Ko Main

Lo Wo Bhi Kahte Hain Ki Ye Be-Nang-O-Naam Hai
Ye Jaanataa Agar To Lutaataa Na Ghar Ko Main

Chaltaa Hoon Thodi Door Har Ik Tez-Rau Ke Saath
Pahachaanata Nahin Hoon Abhi Raahabar Ko Main

Khwaahish Ko Ahamaqon Ne Parastish Diyaa Qaraar
Kyaa Poojtaa Hoon Us But-E-Bedaadagar Ko Main

Phir Bekhudi Mein Bhool Gaya Raah-E-Koo-E-Yaar
Jaataa Wagar-Na Ek Din Apni Khabar Ko Main

Apne Pe Kar Rahaa Hoon Qayaas Ahl-E-Dahar Kaa
Samajhaa Hoon Dil-Pazir Mataa-E-Hunar Ko Main

"Ghalib" Khudaa Kare Ki Sawaar-E-Samand-E-Naaz
Dekhoon Ali Bahaadur-E-Aali-Guhar Ko Main

 ------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>