Ghalib - Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Tu Kya Hai

Har Ek Baat Pe Kahte Ho Tum Ki Too Kya Hai
Tumhin Kaho Ke Ye Andaaz-E-Guftagu Kya Hai

Na Shole Mein Ye Karishma Na Barq Main Ye Ada
Koi Bataao Ki Wo Shokh-E-Tundakhu Kya Hai

Ye Rashk Hai Ki Wo Hota Hai Ham-Sukhan Ham se
Wagar Na Khauf-E-Badaamozi-E-Adu Kya Hai

Chipak Raha Hai Badan Par Lahu Se Pairaahan
Hamaari Jeb Ko Ab Haajat-E-Rafu Kya Hai

Jalaa Dia Jism Jahaan Dil Bhi Jal Gaya Hoga
Kuredte Ho Jo Ab Raakh Justaju Kya Hai

Ragon Main Daudte Phirne Ke Ham Nahin Qaayal
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahu Kya Hai

Wo Cheez Jiske Liye Hamko Ho Bahisht Aziz
Siwaaye Baada-E-Gulfaam-E-Mushkbu Kya Hai

Piyun Sharaab Agar Khum Bhi Dekh Loon Do Chaar
Ye Sheesha-O-Qadaah-O-Kooza-O-Subu Kya Hai

Rahi Na Taaqat-E-Guftaar Aur Agar Ho Bhi
To Kis Ummeed Pe Kahiye Ke Aarzu Kya Hai

Bana Hai Shaah Ka Musaib, Phire Hai Itrata
Wagar-Na Shahar Main “Ghalib” Ki Aabru Kya Hai

---------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>