Ghalib - Hui Taakhir To Kuch Baais-E-Taakhir Bhi Tha

Hui Taakhir To Kuch Baais-E-Taakhir Bhi Tha

Hui Taakhir To Kuch Baais-E-Taakhir Bhi Tha
Aap Aate The Magar Koi Inaangir Na Tha

Tum Se Beja Hai Mujhe Apni Tabaahi Ka Gila
Us Main Kuch Shaaib-E-Khoobi-E-Taqdir Bhi Tha

Tu Mujhe Bhool Gaya Ho To Pata Batlaa Doon
Kabhi Fitraak Main Tere Koi Nakhchir Bhi Tha

Qaid Main Hai Tere Wahshi Ko Wahi Zulf Ki Yaad
Haan Kuch Ek Ranj-E-Garaanbaari-E-Zanjir Bhi Tha

Bijli Kaund Gai Aankhon Ke Aage, To Kya
Baat Karte, Ke Main Lab Tashna-E-Taqrir Bhi Tha

Yusuf Us Ko Kahoon Aur Kuch Na Kahe, Khair Hui
Gar Bigad Baithe To Main Laayaq-E-Tazir Bhi Tha

Dekh Kar Ghair Ko Kyun Ho Na Kaleja Thanda
Naala Karta Tha Wale Taalib-E-Taasir Bhi Tha

Peshe Main Aib Nahin, Rakhiye Na Farhaad Ko Naam
Ham Hi Aashuftaa-Saron Main Wo Jawaan ‘Meer’ Bhi Tha

Ham The Marne Ko Khade Paas Na Aaya Na Sahi
Aakhir Us Shaukh Ke Tarkash Main Koi Teer Bhi Tha

Pakde Jaate Hain Farishton Ke Likhe Par Naahak
Admi Koi Hamaara Dam-E-Tahrir Bhi Tha

Rekhta Ke Tumhin Ustaad Nahin Ho “Ghalib”
Kahte Hain Agle Zamaane Main Koi ‘Meer’ Bhi Tha

 --------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>