Ghalib - Koi Din Gar Zindagaani Aur Hai

Koi Din  Gar  Zindagaani  Aur Hai

Koi Din  Gar  Zindagaani  Aur Hai
Apne Jee Mein Hamne Thaani Aur Hai

Aatish-E-Dozakh Mein Ye Garmi Kahan
Soz-E-Gham  Haay Nihaani  Aur  Hai

Baaraha Dekhi  Hain Unki Ranjishain
Par Kuchh Ab Ke Sar-Giraani Aur Hai

De Ke Khat Munh Dekhta  Hai Naama-Bar
Kuchh To Paighaam-E-Zabaani Aur Hai

Qaata-E-'Amaar Hai Aksar Nujoom
Woh Balaa-E-Aasmaani  Aur  Hai

Ho Chukin 'Ghalib' Balaayen Sab Tamaam
Ek  Marg-E-Naagahaani  Aur  Hai

 --------------------

Post a Comment

0 Comments

–>