Ghalib - Nukta-Cheen Hai Gham-E-Dil Usko Sunaaye Na Bane

Nukta-Cheen Hai Gham-E-Dil

Nukta-Cheen Hai Gham-E-Dil Usko Sunaaye Na Bane
Kya  Bane  Baat Jahaan  Baat  Banaaye  Na  Bane

Main Bulaata To Hoon  Usko Magar Ai Jazba-E-Dil
Uspe Ban Jaaye Kuchch Aisi Ki Bin Aaye Na Bane

Khel Samjha Hai Kahin Chod Na De, Bhool Na Jaay
Kaash ! Yoon Bhi Ho Ki Bin Mere Sataaye Na Bane

Ghair Firta  Hai Liye Yoon  Tere Khat Ko Ki Agar
Koi Pooche Ki Yeh Kya Hai  To Chipaaye Na Bane

Is Nazaakat Ka Bura Ho, Woh Bhale Hain To Kya
Haanth Aaye To Unhain Haanth Lagaaye Na  Bane

Keh Sake Kaun Ki Yeh Jalwaa-Gari Kiski Hai
Parda Choda Hai Woh  Usne Ki Uthaaye Na Bane

Maut Ki Raah Na Dekhoon Ki Bin Aaye Na Rahe
Tumko Chaahoon Ki Na Aao, To Bulaaye Na Bane

Bojh Woh Sar Pe Gira Hai Ki Uthaaye Na Uthe
Kaam  Woh Aan Pada  Hai, Ki Banaaye Na Bane

Ishq Par Zor Nahin, Hai Ye Woh Aatish 'Ghalib'
Ki  Lagaaye  Na  Lage  Aur  Bujhaaye  Na  Bane

   -----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>