Ghalib - Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai

Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai

Phir Kuch Is Dil Ko Beqarari Hai
Sina Zoya-E-Zakhm-E-Kari Hai

Phir Jigar Khodne Laga Nakhoon
Amad-E-Fasl-E-Lala'kari Hai

Qibla-E-Maqsad-E-Nigah-E-Niyaz
Phir Wahi Parda-E-Ammari Hai

Chashm-E-Dallal-E-Jins-E-Ruswai
Dil Kharidar-E-Zauq-E-Khwari Hai

Wahi Sad-Rang Nala-Farsai
Wahi Sad-Guna Ashk-Bari Hai

Phir Usi Bewafaa Pe Marte Hain
Phir Wahi Zindagi Hamaari Hai

Phir Khula Hai Dar-E-Adalat-E-Naz
Garm, Bazar-E-Faujdaari Hai

Phir Diya Para-E-Jigar Ne Sawaal
Ek Fariyad-O-Aah-O-Zari Hai

Phir Hue Hain Gawah-E-Ishq Talab
Ashk-Bari Ka Hukm-E-Zari Hai

Be-Khudi, Be-Sabab Nahin 'Ghalib'
Kuch To Hai, Jis Ki Parda-Daari Hai

  ---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>