Ghalib - Shauq Har Rang Raqeeb-E-Sar-O-Saamaan Niklaa

Shauq  Har Rang Raqeeb

Shauq  Har Rang Raqeeb-E-Sar-O-Saamaan  Niklaa
Qais Tasweer Ke Parde Mein Bhi Uriyaan Niklaa

Zakhm Ne  Daad Na  Di, Tangi-E-Dil Ki Yaarab !
Teer Bhi Seena-E-Bismil Se Par-Afshaan Niklaa

Boo-E-Gul, Naala-E-Dil, Dood-E-Charaagh-E-Mehfil
Jo  Teri  Bazm  Se Nikla,  So Parishaan  Niklaa

Thee Nau-Aamoz-Fana'a  Himmat-E-Dushwaar-Pasand
Sakht Mushkil Hai Ki Yah Kaam Bhi Aasaan Nikla

Dil Mein Fir Giryaan Ne Ik Shor Uthaaya 'Ghalib'
Aah  Jo Qatra Na  Nikla Tha, So  Toofaan  Nikla

-------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>