Zulmat-Kade Mein Mere Shab-E-Gham Ka Josh Hai
Ik Shamma'a Hai Daleel-E-Sahar, So Khamosh Hai
Nai Muzda-E-Wisaal Na Nazzaara-E-Jamaal
Muddat Hui Ki Aashti-E-Chashm-O-Gosh Hai
Mai Ne Kiya Hai, Husn-E-Khud-Aara Ko Be-Hijaab
'Ai Shauq, Yaan Ijaazat-E-Tasleem-E-Hosh Hai
Gauhar Ko Ikd-E-Gardan-E-Khubaan Mein Dekhna
Kya Auj Par Sitaara-E-Gauhar-Farosh Hai
Deedaar, Waada, Hausla, Saaqi, Nigaah-E-Mast
Bazm-E-Khayaal Maikada-E-Be-Kharosh Hai
Ai Taaza Waaridan-E-Bisaat-E-Hawa-E-Dil
Zinhaar Gar Tumhain Hawas-E-Na-O-Nosh Hai
Dekho Mujhe Jo Deeda-E-Ibrat-Nigaah Ho
Meri Suno Jo Gosh-E-Naseehat-Niyosh Hai
Saaqi Ba-Jalwa Dushman-E-Imaan-O-Aagahi
Mutrib Ba-Naghma Rahzan-E-Tamkeen-O-Hosh Hai
Ya Shab Ko Dekhte The; Ki Har Gosha-E-Bisaat
Daamaan-E-Baaghbaan-O-Kaf-E-Gul-Farosh Hai
Lutf-E-Khiraam-E-Saaqi-O-Zauq-E-Sada-E-Chang
Yeh Jannat-E-Nigaah Woh Firdaus-E-Gosh Hai
Ya Subh Dam Jo Dekhiye Aakar To Bazm Mein
Nai Woh Suroor-O-Soz Na Josh-O-Kharosh Hai
Daagh-E-Firaaq-E-Sohabat-E-Shab Ki Jali Hooi
Ik Shamma`A Reh Gai Hai So Wo Bhi Khamosh Hai
Aate Hain Ghaib Se Ye Mazaameen Khayaal Mein
'Ghalib', Sareer-E-Khaama Nawa-E-Sarosh Hai
---------------------------

0 Comments