Josh - Ai Malihabad Ke Rangeen Gulistaan Alvidaa



Ai Malihabad Ke Rangeen Gulistaan Alvidaa
Alvidaa Aye Sarzameen-E-Sub’h-E-Khandaan Alvidaa
Alvidaa Aye-Kishvar-E-She’r-O-Shabistaan Alvidaa
Alvidaa Aye Jalvagaah-E-Husn-E-Jaanan Alvida
Tere Ghar Se Ek Zindaa Laash Uth Jaane Ko Hai
Aa Gale Mil Len Ki Aavaaz-E-Jaras Aane Ko Hai
Aye Malihabad Ke Rangeen Gulistaan Alvidaa


Haai Kyaa Kyaa Nematen Mujhko Mili Thin Be-Bahaa
Yeh Khamoshi Yeh Khule Maidaan Yeh Thandi Hawaa
Vaae, Ye Jaan Bakhsh Gustaahai Rangeen Fizaa
Marke Bhi Inko Na Bhuulega Dil-E-Dard Aashnaa
Mast Koyal Jab Dakan Ki Vaadiyon Me Gaayegi
Yeh Sub’h Ki Chhaon, Baguulon Ki Boh’t Yaad Aayegi
Aye Malihabad Ke Rangeen Gulistaan Alvidaa


Kal Se Kaun Is Baagh Ko Rangeen Banaane Aayega
Kaun Phoolon Ki Hansi Par Muskuraane Aayega
Kaun Is Sabze Ko Sote Se Jagaane Aayega
Kaun In Paudon Ko Seene Se Lagaane Aayega
Kaun Jaagega Qamar Ke Naaz Uthaane Ke Liye
Chaandni Raaton Ko Zaanuu Par Sulaane Ke Liye
Aye Malihabad Ke Rangeen Gulistaan Alvidaa


Aam Ke Baaghon Men Jab Barsaat Hogi Purkharosh
Meri Furqat Mein Lahuu Royegi Chashm-E-Mai-Farosh
Ras Ki Buunden Jab Ura Dengi Gulistaanon Ke Hosh
Kunj-E-Rangeen Mein Pukarengi Hawayen Josh Josh
Sun Ke Meraa Naam Mausam Ghamzada Ho Jayega
Ek Mahshar Sa Gulistan Mein Bapaa Ho Jayegaa
Aye Malihabad Ke Rangee Gulistaan Alvidaa


Aa Gale Mil Len Khudaa Haafiz Gulistaan-E-Vatan
Aye Amaniganj Ke Maidaan Aye Jaan-E-Vatan
Alvidaa Ai Laalazaar-O-Sumbulistaan-E-Vatan
Assalam Aye Sohbat-E-Rangeen-E-Yaaraan-E-Vatan
Hashr Tak Rahne Na Dene Tum Dakan Ki Khaak Men
Dafn Karna Apne Shaayar Ko Vatan Ki Khaak Men
Aye Malihabad Ke Rangeen Gulistaan Alvidaa

-------------------

Post a Comment

0 Comments

–>