Ek Pal Men Ek Sadi Kaa Mazaa Ham Se Poochhiye,
Do Din Ki Zindagi Kaa Mazaa Ham Se Poochhiye,
Bhoole Hain Raftaa Raftaa Unhen Mudatton Men Ham,
Qiston Men Khud-Kushi Kaa Mazaa Ham Se Poochhiye
Aaghaaz-E-Aashiqi Kaa Mazaa Aap Jaaniye,
Anjaam-E-Aashiqi Kaa Mazaa Ham Se Poochhiye,
Jalte Diyon Men Jalte Gharon Jaise Zau Kahaan
Sarkaar Raushni Kaa Mazaa Ham Se Poochhiye,
Wo Jaan Hi Gaye Ke Hamen Un Se Pyaar Hai,
Aankhon Ki Mukhbari Kaa Mazaa Ham Se Poochhiye,
Hansne Kaa Shauq Ham Ko Bhi Thaa Aap Ki Tarah,
Hansiye Magar Hansi Kaa Mazaa Ham Se Poochhiye,
Ham Taubaa Kar Ke Mar Gaye Qabl-E-Azal “Khumar”,
Tauhin-E-Maikashi Kaa Mazaa Ham Se Poochhiye
-------------------

0 Comments