Jhunjhlaaye Hain, Lajaaye Hain Phir Muskuraaye Hain,
Kis Ehtimaam Se Ham Unhen Yaad Aaye Hain,
Ab Jaa Ke Aah Karne Ke Aadaab Aaye Hain,
Duniyaa Samajh Rahi Hai Ke Ham Muskuraaye Hain,
Guzre Se Mai-Kade Se Taubaa Ke Baad Ham,
Kuch Der To Aadatan Bhi Qadam Larkharaaye Hain
Ai Josh-E-Giriyaa Dekh Na Karnaa Khajil Mujhe,
Aankhen Meri Zaroor Hain, Aansoo Paraaye Hain,
Ai Maut, Ai Bahisht-E-Sukoon Aa Khush’aamde,
Ham Zindagi Men Pehle-Pehal Muskuraaye Hain,
Jitni Bhi Mai-Kade Men Hai Saaqi Pilaa De Aaj,
Ham Tashnaa-Kaam Zuh’d Ke Sehraa Se Aaye Hain,
Insaan Jeete Ji Kare Taubaa Khataaon Se,
Majboorion Ne Kitne Farishte Banaaye Hain,
Kaabe Men Khairiyat To Hai Hazrat-E-Khumar,
Ye Dair Hai Janaab Yahaan Kaise Aaye Hain
-----------------------
0 Comments