Khumar - Mile Hain Ehtiyaatan Un Se Ham Be-Gaanawaar Aksar




Mile Hain Ehtiyaatan Un Se Ham Be-Gaanawaar Aksar,
Adaa Karnaa Pada Hai Ye Bhi Farz-E-Naa-Gawaar Aksar,

Khataayen Karte Karte Tauba Kar Li Hai “Khumar” Aksar,
Tarap Kar Rah Gayi Hai Rahmat-E-Parwardigaar Aksar,

Wo Yun Aaye Hain Mere Saamne Be-Ikhtiyaar Aksar,
Mujhe Karnaa Padaa Hai Aap Apnaa Intizaar Aksar,

Badi Mushkil Se Dil Maayoos Hotaa Hai Muhabbat Men,
Kiyaa Hai Main Ne Ek Paimaan-Shikan Kaa Aitbaar Aksar,

Jo Kaante Ban Ke Khatke Hain Dilon Men Ahl-E-Gulshan Ke,
Barhaayaa Hai Unhin Kaanton Ne Gulshan Ka Wiqaar Aksar,

Zamaanaa Ho Gayaa Tark-E-Muhabbat Ko Magar Ab Tak,
Muhabbat Kaam Apnaa Kar Hi Jaati Hai “Khumar” Aksar.

----------------------

Post a Comment

0 Comments

–>