Firaq - Kisi Se Chhoot Ke Shaad Aur Kisi Se Mil Ke Ghami




Kisi Se Chhoot Ke Shaad Aur Kisi Se Mil Ke Ghami
'Firaq' Teri Muhabbat Ka Koi Theek Nahin

Yun Hi-Sa Tha Koi Jis Ne Mujhe Mita Daala
Na Koi Noor Ka Putlaa Na Koi Zohra-Jabin

Jo Bhoolti Bhi Nahin Yaad Bhi Nahi Aati
Teri Nigaah Ne Kyun Vo Kahaaniyan Na Kahin

Lab-E-Nigaar Hai Ya Nagma-E-Bahaar Ki Lau
Sakoot-Saaz Hai Yaa Koi Mutreeb-E-Rangin

Shuroo-E-Zindgi-E-Ishq Ka Vo Pehla Khwaab
Tumhen Bhi Bhool Chuka Hai Mujhe Bhi Yaad Nahin

Hazaar Shukr Ki Maayyus Kar Diya Too Ne
Ye Aur Baat Ki Tujhse Badi Ummeeden Thin

Agar Badal Na Diya Aadmi Ne Duniya Ko
To Jaan Lo Ki Yahaan Aadmi Ki Khair Nahin

Hunar To Khair Hunar Aib Se Bhi Jalte Hain
Fughaan Ki Ahl Zamana Hai Kis Qadar Kam-Been

                 ------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>