Aasmaan Tak Jo Naalaa Pahunchaa Hai
Dil Ki Gehraaion Se Niklaa Hai
Meri Nazron Mein Hashr Bhi Kya Hai
Main Ne Un Ka Jalaal Dekha Hai
Jalwa-E-Toor Khvaab-E-Moosa Hai
Kis Ne Dekha Hai Kis Ko Dekha Hai
Haaye Anjaam Us Safeene Ka
Na-Khuda Ne Jise Duboya Hai
Aah Kya Dil Mein Ab Lahoo Bhi Nahin
Aaj Ashkon Ka Rang Phika Hai
Jab Bhi Aankhen Milin Un Aankhon Se
Dil Ne Dil Ka Mizaaj Poocha Hai
Wo Jawaani Ke Thi Hareef-E-Tarab
Aaj Barbaad-E-Jaam-O-Sehba Bhi Nahin
Kaun Uth Kar Chala Muqabil Se
Jis Taraf Dekhiye Andhera Hai
Phir Meri Aankh Ho Gayi Namnaak
Phir Kisi Ne Mizaaj Poocha Hai
Sach To Ye Hai Ke “Majaz” Ki Duniya
Husn Aur Ishq Ke Siva Kya Hai
---------------------
0 Comments