Apne Dil Ko Donon Aalam Se Utha Sakta Hun Main
Kya Samjhti Ho Ki Tumko Bhi Bhula Sakta Hun Main
Kaun Tum Se Chheen Sakta Hai Mujhe, Kya Vaham Hai
Khud Zulekha Se Bhi Toh Daaman Bacha Sakta Hun Main
Dil Mein Tum Paida Karo Pehle Meri Si Jaraa'aten
Aur Phir Dekho Ki Tumko Kya Bana Sakta Hun Main
Dafn Kar Sakta Hun Seene Mein Tumhare Raaz Ko
Aur Tum Chhaho Toh Afsana Bana Sakta Hun Main
Main Qasam Khaata Hun Apne Taaqat Ke Ejaaz Ki
Tum Ko Bazm-E-Maah-O-Anjum Mein Bitha Sakta Hun Main
Sar Pe Rakh Sakta Hun Taaze Kishvar-E-Nooraaniyan
Mehfil-E-Khursheed Ko Neecha Dikha Sakta Hun Main
Main Bahut Sarkash Hun Lekin Ik Tumhaare Vaaste
Dil Bichha Sakta Hun Main, Aankhen Bichha Sakta Hun Main
Tum Agar Rootho Toh Ik Tumko Manaane Ke Liye
Geet Ga Sakta Hun Main, Aansu Baha Sakta Hun Main
Jazb Hai Dil Mein Mere Donon Jahaan Ka Soz-O-Saaz
Barbat-E-Fitrat Ka Har Naghma Suna Sakta Hun Main
Tum Samjhti Ho Ki Hain Parde Bahut Se Darmiyaan
Main Yeh Kehta Hun Ki Har Parda Utha Sakta Hun Main
Tum Ki Ban Sakti Ho Har Mehfil Mein Firdaus-E-Nazar
Mujh Ko Yeh Daava Ki Har Mehfil Pe Chhaa Sakta Hun Main
Aao Mil Kar Inqilaab-E-Taaza Paidaa Karen
Dehar Par Iss Tarah Chhaa Jaayen Ki Sab Dekha Karen
----------------------
0 Comments