Aql Ki Satah Se Kuch Aur Ubhar Jaana Tha
Ishq Ko Manzil-E-Pasti Se Guzar Jaana Tha
Jalwe The Halqa-E-Har Daam-E-Nazar Se Baahar
Main Ne Har Jalwe Ko Paabande Nazar Jaana Tha
Husn Ka Gham Bhi Hasin, Fikr Hasin, Dard Hasin
Un Ko Har Rang Mein Har Taur Sanwar Jaana Tha
Husn Ne Shauq Ke Hangaamen Toh Dekhe The Bahut
Ishq Ke Daava-E-Taqdees Se Dar Jaana Tha
Yeh Toh Kya Kahiye Chala Tha Main Kahan Se Humdam
Mujh Ko Yeh Bhi Na Tha Maaloom Kidhar Jaana Tha
Husn Aur Ishq Ko De Taana-E-Bedaad ‘Majaz’
Tum Ko Toh Sirf Issi Baat Pe Marr Jaana Tha
------------------
0 Comments