Majaz - Aye Gham-E-Dil Kyaa Karoon Aye Vahashat-E-Dil Kyaa Karoon

nazm-aawaara


Shaher Ki Raat Aur Main Naashaad-O-Naakaara Phiroon
Jagmagaati Jaagati Sadkon Pe Aawaara Phiroon
Ghair Ki Basti Hai Kab Tak Dar Badar Maara Phiroon

Aye Gham-E-Dil Kyaa Karoon Aye Vahashat-E-Dil Kyaa Karoon

Ye Rupahali Chhaaon Ye Aakaash Par Taaron Ka Jaal
Jaise Soofi Kaa Tasawwur Jaise Aashiq Kaa Khayaal
Aah Lekin Kaun Jaane Kaun Samajhe Ji Kaa Haal

Aye Gham-E-Dil Kyaa Karoon Aye Vahashat-E-Dil Kyaa Karoon

Jhilmilaate Kumkumon Ki Raah Mein Zanjeer Si
Raat Ke Haathon Mein Din Ki Mohini Tasveer Si
Mere Seene Par Magar Dehki Huee Shamsheer Si

Aye Gham-E-Dil Kya Karoon, Aye Vahshat-E-Dil Kya Karoon

Ek Mahal Ki Aad Se Nikla Woh Peela Mahtab
Jaise Mulla Ka Amama, Jaise Baniye Ki Kitaab
Jaise Muflis Ki Jawaani, Jaise Bewa Ka Shabaab

Aye Gham-E-Dil Kya Karoon, Aye Vahshat-E-Dil Kya Karoon

Raat Hans-Hans Kar Ye Kahti Hai Ke Maikhaane Mein Chal
Phir Kisi Shah-Naaz-E-Laala-Rukh Ke Kaashaane Mein Chal
Ye Naheen Mumkin To Phir Aye Dost Veeraane Mein Chal

Aye Gham-E-Dil Kyaa Karoon Aye Vahashat-E-Dil Kyaa Karoon

Raaste Main Ruk Ke Dam Le Loon Meri Aadat Nahin
Laut Kar Vaapas Chala Jaaoon Meri Fitarat Nahin
Aur Koi Hamnava Mil Jaaye Ye Qismat Nahin

Aye Gham-E-Dil Kyaa Karoon Aye Vahashat-E-Dil Kyaa Karoon

Jee Mein Aataa Hai Ki Ab Ahd-E-Vafaa Bhi Tod Doon
Un Ko Paa Sakataa Hoon Main Ye Aasaraa Bhi Chhod Doon
Haan Munaasib Hai Ye Zanjeer-E-Havaa Bhi Tod Doon

Aye Gham-E-Dil Kyaa Karoon Aye Vahashat-E-Dil Kyaa Karoon

Muflisi Aur Ye Mazaahir Hain Nazar Ke Saamane
Saikdon Changez-O-Naadir Hain Nazar Ke Saamane
Saikdon Sultaan Jaabar Hain Nazar Ke Saamane

Aye Gham-E-Dil Kyaa Karoon Aye Vahashat-E-Dil Kyaa Karoon

Jee Main Aata Hai Ye Murdaa Chaand-Taare Noch Loon
Is Kinaare Noch Loon Aur Us Kinaare Noch Loon
Ek Do Kaa Zikr Kyaa Saare Ke Saare Noch Loon

Aye Gham-E-Dil Kyaa Karoon Aye Vahashat-E-Dil Kyaa Karoon

---------------------

Post a Comment

0 Comments

–>