Majaz - Dasht-E-Tanhai Mein Ai Jaan-E-Jahaan

Dasht-E-Tanhai Mein


Dasht-E-Tanhai Mein Ai Jaan-E-Jahaan
Larzaan Hain Teri Awaaz Ke Saaye Tere Honton Ke Saraab
Dasht-E-Tanhaai Mein Doori Ke Khaso-Khaak Tale
Khil Rahe Hain Tere Phoolon Ke Saman Aur Gulab
Dahsht-E-Tanhai Mein Ai Jaan-E-Jahaan

Uth Rahi Hai Kaheen Qurbat Se Teri Saans Ki Aanch
Apni Khushboo Mein Sulagti Hui Madham Madham
Door Ufaq Par Chamakti Hui Qatra Qatra
Gir Rahi Hai Teri Dildar Nazar Ki Shabnam
Dasht-E-Tanhai.Mein Ai Jaane Jahaan.

Is Qadar Pyar Se Ai Jaan-E-Jahaan Rakha Hai
Dil Ke Rukhsaar Pe Is Waqt Teri Yaad Ne Haath
Yoon Gumaan Hota Hai Gar-Che Abhi Hai Subh Faraagh
Dhal Gaya Hijr Ka Din Aa Bhi Gai Wasal Ki Raat
Dasht-E-Tanhai Mein Ai Jaan-E-Jahaan


----------

Post a Comment

0 Comments

–>