Dekhna Jazba-E-Muhabbat Ka Asar Aaj Ki Raat
Mere Shaane Pe Hai Uss Shokh Ka Sar Aaj Ki Raat
Aur Kya Chaahiye Ab Ai Dile Mahroom Tujhe
Uss Ne Dekha Toh Ba-Andaaz-E- Deegar Aaj Ki Raat
Phool Kya Khaar Bhi Hain Aaj Gulistaan Ba-Kinar
Sangreze Hain Nigaahon Mein Guhar Aaj Ki Raat
Mehv-E-Gul-Gasht Hain Ye Kaun Mere Dosh-Ba-Dosh
Kah-Kashan Ban Gayi Har Rehguzar Aaj Ki Raat
Phoot Nikla Daro-Deewar Se Sailaab-E-Nishaat
Allah Allah Mere Kaif-E-Nazar Aaj Ki Raat
Shabnamistaan-E -Tajalli Ka Fasoon Kya Kahiye
Chaand Ne Phenk Diya Rakht-E-Safar Aaj Ki Raat
Noor Hi Noor Hai Kis Simt Uthaaoon Aankhen
Husn Hi Husn Hai Taa-Hadd-E-Nazar Aaj Ki Raat
Kasr-E-Geti Mein Umad Aaya Hai Toofaan-E-Hayaat
Maut Larzaan Hai Pas-E-Parda-E-Dar Aaj Ki Raat
Allah Allah Vo Peshaani-E-Seemin Ka Jamaal
Reh Gayi Jam Ke Sitaaron Ki Nazar Aaj Ki Raat
Aariz-E-Garm Pe Vo Rang-E-Shafaq Ki Kirnen
Vo Meri Shokh Nigaahon Ka Asar Aaj Ki Raat
Nargis-E-Naaz Mein Vo Neend Ka Halka Sa Khumaar
Vo Mere Naghma-E-Sheerin Ka Asar Aaj Ki Raat
Naghma-O-Mai Ka Yeh Toofaan-E-Tarab Kya Kahiye
Ghar Mera Ban Gaya Khayyam Ka Ghar Kya Kahiye
Meri Har Saans Pe Woh Un Ki Tavajjoh Kya Khoob
Meri Baat Pe Woh Jumbish-E-Sar Aaj Ki Raat
Woh Tabssum Hi Tabssum Ka Jamaal-E-Paiham
Woh Muhbbat Hi Muhbbat Ki Nazar Aaj Ki Raat
Uff Woh Vaarafatgi-E-Shauq Mein Ik Vahm-E-Lateef
Kap-Kapaate Huye Honton Pe Nazar Aaj Ki Raat
Apni Rifaayat Pe Jo Naazaan Hain Toh Naazaan Hi Rahen
Keh Do Anzuum Se Ke Dekhen Na Idhar Aaj Ki Raat
Un Ke Altaaf Ka Itna Hi Fasoon Kaafi Hai
Kam Hai Pehle Se Bahut Dard-E-Jigar Aaj Ki Raat
------------------------------
0 Comments