Ek Nannhi Munni Si Pujaaran
Patli Baahen, Patli Gardan
Bhor Bhaye Mandir Aayi Hai
Aayi Nahin Hai, Maan Laayi Hai
Waqt Se Pahle Jaag Uthti Hai
Neend Bhi Aankhon Mein Bhari Hai
Thodi Tak Lat Aayi Hui Hai
Yun Hi Si Lahraai Hui Hai
Aankhon Mein Taaron Ki Chamak Hai
Mukhre Pe Chaandi Ki Jhalak Hai
Kaisi Sundar Hai, Kya Kahiye
Nannhi Si Ek Sita Kahiye
Dhoop Chuphe Taaraa Chamka Hai
Patthar Par Ek Phool Khila Hai
Chaand Ka Tukra Phool Ki Daali
Kamsin Seedhi Bholi-Bhaali
Kaan Mein Chaandi Ki Baali Hai
Haath Mein Peetal Ki Thaali Hai
Dil Mein Lekin Dhyaan Nahin Hai
Pooja Ka Kuch Gyaan Nahin Hai
Kaisii Bholi Aur Seedhi Hai
Mandir Ki Chhat Dekh Rahi Hai
Maan Bhaanph Kar Chutki Leti Hai
Chupke Chupke Hans Deti Hai
Hansna Rona Uska Mazhab
Us Ko Pooja Se Kya Matlab
Khud To Aayi Hai Mandir Mein
Man Uska Hai Gudia-Ghar Mein
--------------------
0 Comments