Majaz - Kamaal-E-Ishq Hai Divaanaa Ho Gayaa Hoon Main

kamaal e ishq


Kamaal-E-Ishq Hai Divaanaa Ho Gayaa Hoon Main
Ye Kis Ke Haath Se Daaman Chhudaa Rahaa Hoon Main

Tumhin To Ho Jise Kahti Hai Naa-Khudaa Duniyaa
Bachaa Sako To Bachaa Lo Ki Doobtaa Hoon Main

Ye Mere Ishq Ki Majabooriyaan Ma'az-Allaah
Tumhaara Raaz Tumhin Se Chhupaa Rahaa Hoon Main

Is Ik Hijaab Pe Sau Be-Hijaabiyaan Sadaqe
Jahaan Se Chaahta Hoon Tumko Dekhta Hoon Main

Bataane Vaale Vahin Par Bataate Hain Manzil
Hazaar Baar Jahaan Se Guzar Chukaa Hoon Main

Kabhi Ye Zom Ki Too Mujh Se Chhup Nahin Saktaa
Kabhi Ye Vaham Ki Khud Bhi Chhupa Huaa Hoon Main

Mujhe Sune Na Koi Mast-E-Baadaa-E-Isharat
'Majaz' Toote Huye Dil Ki Ik Sadaa Hoon Main

      --------------------

Post a Comment

0 Comments

–>