Phir Chali Hai Rel Station Se Lahraati Hui
Neem-Shab Ki Khaamoshi Men Zer-E-Lab Gaati Hui
Dag-Magaati, Jhoomti, Seeti Bajaati, Khelati
Vaadi-O-Kohasar Ki Thandi Havaa Khaati Hui
Tez Jhonkon Men Vo Chham Chham Kaa Sarod-E-Dil-Nashin
Aandhiyon Men Meh Barasne Ki Sadaa Aati Hui
Jaise Maujon Kaa Tarannum Jaise Jal-Pariyon Ke Git
Ik-Ik Lay Men Hazaaron Zam-Zamen Gaati Hui
Nau-Nihaalon Ko Sunaati Meethhi Meethhi Loriyaan
Naazneenon Ko Sunahre Khvaab Dikhlaati Hui
Thokren Khaakar, Lachakti, Gun-Gunaati, Jhoomti
Sar-Khushi Men Ghunghruon Ki Taal Par Gaati Hui
Naaz Se Har Mod Par Khaati Hui Sau Pech-O-Kham
Ik Dulhan Apni Adaa Se Aap Sharmaati Hui
Raat Ki Taarikiyon Men Jhilmilaati, Kaanpati
Patriyon Pe Door Tak Seemaab Chhalkaati Hui
Jaise Aadhi Raat Ko Nikli Ho Ik Shaahi Baraat
Shaadiyaanon Ki Sadaa Se Vajd Men Aati Hui
Muntashir Kar Ke Fazaa Men Jaa-Ba-Jaa Chingaariyaan
Daaman-E-Mauj-E-Havaa Men Phool Barsaati Hui
Tez-Tar Hoti Hui Manzil-Ba-Manzil Dam-Ba-Dam
Raftaa Raftaa Apnaa Asli Roop Dikhlati Hui
Seenaa-E-Kohasar Par Chadhti Hui Be-Ikhtiyaar
Ek Naagan Jis Tarah Masti Men Lahraati Hui
Ik Sitaaraa Toot Kar Jaise Ravaan Ho Arsh Par
Rifat-E-Kohasar Se Maidaan Men Aati Hui
Ik Bagoole Ki Tarah Badhti Hui Maidaan Men
Jangalon Men Aandhiyon Kaa Zor Dikhlaati Hui
Yaad Aa Jaaye Puraane Devtaaon Kaa Jalaal
In Qayaamat-Kheziyon Ke Saath Bal Khaati Hui
Ek Rakhsh-E-Be-Inaan Ki Barq-Raftaari Ke Saath
Khandaqon Ko Phaandti Teelon Se Katraati Hui
Murgh-Zaaron Men Dikhaati Joo-E-Sheerin Kaa Khiraam
Vaadiyon Men Abr Ke Maanind Mandlaati Hui
Ik Pahaadi Par Dikhaati Aabashaaron Ki Jhalak
Ik Biyaabaan Men Chiraagh-E-Toor Dikhlaati Hui
Justajoo Men Manzil-E-Maqasood Ki Divaana-Vaar
Apnaa Sar Dhunti Fazaa Men Baal Bikhraati Hui
Chhedti Ik Vajd Ke Aalam Men Saaz-E-Sarmadi
Ghaiz Ke Aalam Men Moonh Se Aag Barsaati Hui
Rengti, Mudti, Machalti, Tilmilaati, Haanpti
Apne Dil Ki Aatish-E-Pinhaan Ko Bhadkaati Hui
Khud-Ba-Khud Roothi Hui, Bifri Hui, Bikhri Hui
Shor-E-Paiham Se Dil-E-Geti Ko Dhadkaati Hui
Pul Pe Dariyaa Ke Damaadam Kaundti Lalkaarati
Apni Is Toofaan-Angezi Pe Itraati Hui
Pesh Karti Beech Nadi Men Chiraaghaan Kaa Samaan
Saahilon Pe Ret Ke Zarron Ko Chamkaati Hui
Moonh Men Ghusti Hai Surangon Ke Yakaayak Daud Kar
Dan-Danaati, Cheekhti, Chinghaadti Gaati Hui
Aage Aage Justajoo-Aamez Nazren Daalti
Shab Ke Haibat-Naak Nazzaaron Se Ghabraati Hui
Ek Mujrim Ki Tarah Sahmi Hui Simti Hui
Ek Muflis Ki Tarah Sardi Men Tharraati Hui
Tezi-E-Raftaar Ke Sikke Jamaati Jaa-Ba-Jaa
Dasht-O-Dar Men Zindagi Ki Lahar Daudaati Hui
Safha-E-Dil Se Mitaati Ahad-E-Maazi Ke Nuqoosh
Haal-O-Mustaqbil Ke Dil-Kash Khvaab Dikhlaati Hui
Daalti Be-His Chattaanon Par Hiqaarat Ki Nazar
Koh Par Hansti Falak Ko Aankh Dikhlaati Hui
Daaman-E-Taareeki-E-Shab Ki Udaati Dhajjiyaan
Qasr-E-Zulmat Par Musal-Sal Teer Barsaati Hui
Zad Men Koi Chiz Aa Jaaye To Us Ko Pis Kar
Irtiqaa-E-Zindagi Ke Raaz Batalaati Hui
Zom Men Peshaani-E-Sehraa Pe Thokar Maarti
Phir Subak-Raftaariyon Ke Naaz Dikhlaati Hui
Ek Sarkarsh Fauj Ki Soorat Alam Khole Hue
Ek Toofaani Garaj Ke Saath Darraati Hui
Har Qadam Par Top Ki Si Ghan-Garaj Ke Saath Saath
Goliyon Ki San-Sanaahat Ki Sadaa Aati Hui
Vo Havaa Men Saikadon Jangi Duhal Bajte Hue
Vo Bigul Ki Jaan-Fazaa Aavaaz Lahraati Hui
Al-Gharaz Udti Chali Jaati Hai Bekhauf-O-Khatar
Shaayar-E-Aatish-Nafas Kaa Khoon Khaulaati Hui
-------------------
0 Comments