Rukhsat Ai Dilli Teri Mehfil Se Ab Jaata Hoon Main
Nauhagar Jaata Hoon Main , Naala-B-Lab Jaata Hoon Main
Tera Dil Dhadkaa Chuke Hain Mere Ehsaasaat Bhi
Tere Aivaanon Mein Goonje Hain Mere Naghmaat Bhi
Jannaten Aabaad Hain Tere Dar-O-Deewar Mein
Aur Tu Aabaad Hai Shaayir Ke Qalb-E-Zaar Mein
Yaad Aayegi Mujhe Be-Tarah Yaad Aayegi Tu
Ae'n Waqt-E-Maikashi Aankhon Mein Phir Jaayegi Tu
Kya Kahun Kis Shauq Se Aaya Tha Teri Bazm Mein
Chod Kar Khuld-E-Aligarh Ki Hazaaron Mehfilen
Kitne Rangin Ahd-O-Paimaan Tod Kar Aaya Tha Main
Dil Nawaazaan-E-Chaman Ko Chor Kar Aaya Tha Main
Ik Nasheman Maine Chora Ik Nasheman Chut Gaya
Saaz Bas Cheda Hi Tha Maine Ki Gulshan Chut Gaya
Dil Mein Soz-E-Gham Ki Ik Duniya Liye Jaata Hoon Main
Aah , Tere Maikade Se Be-Piye Jaata Hoon Main
Jaate-Jaate Lekin Ik Paimaan Kiye Jaata Hoon Main
Apne Azm-E-Sarfaroshi Ki Kasam Khaata Hoon Main
Phir Teri Bazm-E-Hasin Mein Laut Kar Aaunga Main
Aaunga Main Aur Ba-Andaaz-E-Digar Aaunga Main
Aah, Voh Chakkar Diye Hain Gardish-E-Ayyaam Ne
Khol Kar Rakh Di Hain Aankhen Talkhi-E-Aalaam Ne
Fitrat-E-Dil Dushman-E-Naghma Hui Jaati Hai Ab
Zindagi Ik Barq Ik Shol'aa Hui Jaati Hai Ab
Sar Se Paa Taq Aik Khooni Raag Ban Kar Aaunga
Laalaazaar-E-Rang-O-Boo Mein Aag Ban Kar Aaunga
------------------
0 Comments