Majaz - Saaraa Aalam Gosh Bar Aawaaz Hai

ghaza-sara aalam gosh bar aawaz hai

Saaraa Aalam Gosh Bar Aawaaz Hai
Aaj Kin Haathon Mein Dil Kaa Saaz Hai

Aap Ki Makhmoor Aankhon Ki Qasam
Meri Maikhwari Abhi Tak Raaz Hai

Chhup Gaye Wo Saaz-E-Hastii Chhed Kar
Ab To Bas Aawaaz Hii Aawaaz Hai

Husn Ko Naahaq Pashemaan Kar Diyaa
Aye Junoon Ye Bhi Koi Andaaaz Hai

Haan Zaraa Jurrat Dikhaa Ai Jazba-E-Dil
Husn Ko Parde Pe Apane Naaz Hai

Kam-Nasheen Dil Ki Haqiiqat Kyaa Kahoon
Soz Mein Doobaa Huaa Ik Saaz Hai

Hans Diye Wo Mere Rone Par Magar
Un Ke Hans Dene Mein Bhi Ek Raaz Hai

Khoob Pahchaan Lo Asraar Hoon Main
Jin Se Ulfat Ka Talabgaar Hoon Main

Khwaab-E-Ishrat Mein Hain Arbab-E-Khirad
Aur Ek Shaayar-E-Bedaar Hoon Main

Aib Jo Haafeez-O-Khayyam Mein Tha
Haan Kuch Uska Bhi Gunhegaar Hoon Main

Hoor-O-Ghilma Ka Yaha Zikr Nahi
Nau-E-Insaan Ka Parastaar Hoon Main

Saari Mahafil Jis Pe Jhoom Utthi 'Majaz'
Wo To Aawaaz-E-Shikast-E-Saaz Hai

------------------------

Post a Comment

0 Comments

–>