Woh Naqaab Aap Se Uth Jaaye Toh Kuch Door Nahin
Varna Meri Nigaah-E-Shauq Bhi Majboor Nahin
Khatir-E-Ahl-E-Nazar Husn Ko Manzoor Nahin
Iss Mein Kuch Teri Khata Deeda-E-Mehzoor Nahin
Laakh Chhipte Ho Magar Chhip Ke Bhi Mastoor Nahin
Tum Ajab Cheez Ho Nazdeek Nahin Door Nahin
Zaraait-E-Arz Par Woh Kuch Nahin Kehte Lekin
Har Adaa Se Yeh Tapaktaa Hai Ki Manzoor Nahi
Dil Dhadak Uthta Hai Khud Apni Hi Har Aahat Par
Ab Qadam Manzil-E-Janaan Se Bahot Door Nahin
Haaye Voh Waqt Ki Jab Be Piye Madhoshi Thi
Haaye Yeh Waqt Ki Ab Pee Ke Bhi Makhmoor Nahin
Husn Hi Husn Hai Jis Simt Uthaata Hun Nazar
Ab Kahan Toor Nahin, Barq-E-Sar-E-Toor Nahin
Dekh Sakta Hun Jo Aankhon Se Woh Kaafi Hai 'Majaz'
Ahl-E-Irfaan Ki Nawaazish Mujhe Manzoor Nahin
----------------------------
0 Comments